Friday, April 26, 2024
HomeOthersTechnologyChina GPS Technology ki daud mein America ko ek takkar dainay ke...

China GPS Technology ki daud mein America ko ek takkar dainay ke liye tayyar

Beijing: China ney elaan kiya hai ke America ke Globle Positioning System ( GPS ) ke muqablay mein is ki janib se tayyar kiya jaaney wala BeiDou Navigation Satellite System ( BNSS ) rawan mah aakhri satellite khalaa mein chhodey jaaney ke sath mukammal hojayega.

GPS Satellites ko Location Data Beaming ke liye Smartphones, Gadiyoun ke Navigation Systems aur is terhan ke tamam nizamoun mein istemaal kiya ja raha hai aur aisay tamam Satellites ko Americi fazaiya control karti hai aur ab China duniya ka dosra mulk ban’nay wala hai jo is Technology ko tashkeel dainay main kamyab raha hai.

China ne 1990 ki dahai mein BNSS ka khayaal pesh kiya tha kyunkay is ki fouj Americi fazaiya ke zir-e-tehat chalne walay GPS par inhisaar kam karna chahti thi. 2000 mein pehlay BeiDou Satellites ko launch kiya gaya jis ki coverage China tak mehdood thi lekin 2003 mein Mobile Devices ke istemaal mein izafay ke baad China ne Europi Union ke tajweez kardah Galileo satellite Navigation System mein shamoliat ki koshish ki aur phir BeiDou par tavajja markooz karne ke liye is se dast bardari ikhtiyar karli.

iPhone ke ehad mein doosri nasal ke BeiDou Satellites 2012 mein qabil istemaal huve ju Asia Pacific ka ihata karte hain. China ne aalmi coverage ke liye teesri nasal ke  satellites 2015 mein khalaa mein beje aur 35 wahn aur aakhri satellite June mein bheja ja raha hai, Jis ki tareekh ka elaan abhi nahi kiya gaya. GPS ke 31 Satellites khelaa mein beje gaye yani BeiDou mein ziyada Satellites honge.

China ne is mansoobay par 10 Arab dollars ki sarmaya kaari ki hai, Taakay China afwaj ka communication Network mehfooz aur kisi barray tanaza par GPS se mehroomi ka khatra nah ho. Mansoobah mukammal honay par BeiDou ki Location service Asia Pacific mein 10 centi meter tak durust hon gi jabkay GPS mein ye sharah 30 centi meter hai.

Australian center for space Engineering Research ke director Andrew Dempster ne kaha BeiDou GPS ke kayi dahaiyo baad design kiya gaya tha, To usay GPS ke tajarbay se bohat kuch seekhnay ka mauqa mila. China is Navigation system ki services jaisay port traffic monitoring aur qudrati afaat waghera ko 120 mumulk ko faraham kar raha hai.

Jin mumulk ko ye khidmaat faraham ki jarahi hain un mein se beshtar China ke build and Road mansoobay ka bhi hissa hain jo ke China ki janib se mojooda ehad ki shahrah resham ko bananay ke liye hai. Thailand aur Pakistan 2013 mein awleen mumulk they jo BeiDou services ka hissa banay they. China ke andar 2019 mein 70 feesad se ziyada mobile phones mein BeiDou ko un able kardiya gaya tha jin mein Huawei, Xiaomi, Vivo, OPPO aur Samsung ke phones shaamil hain.

Karodoun Taxis, Buses aur Trucks mein BeiDou signals dastyab hain. Cheeni media ke mutabiq China ke satellite Navigation sector ki maliyat is saal 57 Arab dollars se ziyada hojaye gi, Jabkay mansoobay ki takmeel ke ilan ke baad se Satellite se mutaliq hasas ki maliyat mein taizi se izafah huwa hai.

BeiDou ke Project director Ran Chengqi ki ney guzashta saal ke aakhir mein kaha tha ke ye nizaam high performance Indicator, Naye technology systems samait mutadid maqasid ke liye istemaal hosakay ga. Unhoun ney mazeed kaha hai ke June 2020 se qabal hum 2 mazeed Satellites ko zameen ke madaar mein chhodey ki mansoobah bandi kar rahay hain, Jis ke sath BeiDou three System mukammal hojayega. Mustakbil mein ziyada Smart, Ziyada qabil rasai aur Intigrated system ko 2035 ko BeiDou ka hissa banakar 2035 tak online kiya jayega.

Unhoun ne mazeed kaha ahem khalayi Infrastructure ke zariye duniya ko awaami khidmaat faraham ki ja sakain gi aur BeiDou system duniya ki khidmat aur insaaniyat ko faida pohanchanay ke liye hai. China ki janib se guzashta 2 dehaon ke douran khalayi program ko bohat taizi se taraqqi di gayi hai aur khod-inhesari ko tarjeeh dete hue Technologies tayyar ki gayi hain aur is waqt 5G data processing jaisay shobo mein bhi baladasti ke liye kaam kiya ja raha hai. 2003 mein China duniya ka teesra mulk ban gaya tha jis ne khalaa mein insaan bardar Machine bheja tha aur is ke baad bhi tajribati khalayi Station taamer kiya jabkay chaand ki satah par Mission bhi bhejhaye.

China ki janib se mukammal fa-aal mustakil Space Station mustakbil mein bhejnay ki mansoobah bandi bhi ki jarahi hai jabkay mereekh par mission aur chaand par insanoun ko bhejnay ka bhi iradah hai. Guzashta saal Bloomberg ki ek Report mein kaha gaya tha ke ye China ka intahi jurrat mandana mansoobah hai jo ke is mulk ke liye be misaal kamyabi bhi hai jo ke pehlay hi khalayi commercial parwaaz, Shamsi tawanai se susti tawanai aur insani sakhta masnoi chaand par bhi kaam kar raha hai.

Is dosray aalmi Navigation System ke liye companiyoun ko munfarid Infrastructure, Materials, Purzey aur Software tayyar karne ki zaroorat hogi aur is hawalay se cheeni companian aisi devices tayyar kar rahi hain jo BeiDou se 2020 tak mutabqat peda kar saken. Tawaqqa ki jarahi hai ke BeiDou par kaam karne wali salana daidh crore chips sirf khudkaar gadiyoun mein hi istemaal hon gi.

China is waqt duniya ki sab se badi aur purkashish Auto Market hai aur cheeni hukoomat chahti hai ke tamam gadiyaan 2020 mein BeiDou ko istemaal karen, Jis ke liye badi Car companian jaisay Toyota aur Volkswagen waghera kaam bhi kar rahi hain. Samsung, Huawei aur Xiaomi ke Smartphones mein bhi is Technology ko shaamil karne par kaam ho raha hai jabkay aalmi satah par Smartphones chips tayyar karne wali Americi company ku Elcom ka kehna hai ke wo taweel arsay se cheeni GPS system se hum aahang kar rahi hai. China is Technology ko hukoomati tor par tayyar honay walay tayyaroun ke liye guzashta saal se istemal kar rahi hai.