Friday, April 19, 2024
HomeTrending NewsChina Corona ki dawa bananay waloun mein sab se agaye

China Corona ki dawa bananay waloun mein sab se agaye

Beijing: China coronavirus ke ilaaj ke liye vaccine bananay ki daud mein agay nikal raha hai. Muqami BioTech company Sinovac ke sath mil kar tayyar ki jaaney wali tajribati Vaccine China ki doosri aur duniya ki teesri vaccine hogi jo is mah ke aakhir mein tajurbah ki aakhri marhalay mein poanch jaye gi. China jahan se ye waba phooty thi apni hukoomat, Fouj aur khangi shobo ko waba ka muqaabla karne ke liye agay le aaya hai. Is waba se ab tak 5 lakh se ziyada loog halaak ho chuke hain.

Khabar rasan idaray ke mutabiq America sameit bohat se deegar mumalik vaccine bananay ki daud jeetnay ke liye khangi shobo ke sath mil kar usay tayyar karne ki koshish kar rahay hain, Jabkay China ko bohat se challenges ka saamna hai. China ki waba par qaboo panay mein kamyabi ne is ke liye vaccine ke barray pemanay par tajarbaat mushkil bana diye hain aur mahez chand mumalik ne is ki haami bhari hai.

Maazi ke vaccine Scandals ki wajah se China ko duniya ko mutmayen karna padega ke is ne tamam hifazati aur miyaar ke intizamaa mukammal kar liye hain lekin China  ke command ka nomi tareeqakar, Yani jis ke tehat hukoomat is baat ka faisla karti hai ke kya tayyar kiya jaye aur kiya nahi, Ke achay nataij samnay aa rahay hain.

Hukoomat ke zair assar kaam karne wali ek company ney chand mahinoun mein vaccine ke 2 Planet jungi bunyadoun par mukammal kiye. Cheeni fouj ka medical research unit ek khangi BioTech Company CanSino’s ke sath mil kar vaccine tayyar kar raha hai.

Maghrib ki sanat ko challenge karte huve China is waqt vaccine ki tayari ke 19 umeedwaroun mein se 8 ki himayat kar raha hai jo is waqt insanoun par tajarbaat ke marahil se guzar rahi hain. Un mein sino Vac ki tajribati vaccine aur fouj aur khangi company Vaccine ke taawun se tayyar ki gayi vaccine sab se agay hai.

China ki tavajja aisi un Activate vaccine technology par hai jo wabai zukam aur khasray jaisi bimarioun ki vaccine tayyar karne ke liye jani jati hai aur is se kamyabi ke imkanaat aur ziyada ho satke hain. Is ke bar aks America ki company Moderna aur Germany ki CureVac aur BioTech nai Technology istemaal kar rahi hain jisay messenger RNA kaha jata hai jis ke zariye abhi tak aisi koi dawa tayar nahi ki gayi jisay Regulators ne manzoor kiya ho.

Americi riyasat Philadelphia mein bachoun ke dawakhane ke vaccine education center ke director  Paul Offit ney China ki taraf se istemaal honay wali Technology ke baaray mein kaha ke ye ek achi hikmat-e-amli hai. Unhoun ney kaha ke agar mujhe kisi mehfooz vaccine ka intikhab karna pade to wo yahi hogi. China mein insanoun par tajurbaat ke marahil se guzarnay wali 4 Vaccine un Activate Technology se tayyar ki gayi hain jin mein SinoVac  aur China ke national BioTech group ki tayyar kardah Vaccine shaamil hain.

Is waqt 2 tajribati Vaccine final Face 3 ke trials se guzar rahi hain. Ek Sino form company ki hai aur doosri AstraZeneca aur University of Oxford ki hai, Jabkay SinoVac is mahinay ke aakhir mein teesri hogi. China ne is ke amal ko taiz karne ke liye Sino form aur SinoVac ko Face 1 aur Face 2 ke trials ko akhatta karne ki ijazat di hai.

Cheeni fouj ke research center ney CanSino ki tajribati vaccine ki tayari mein kaleedi kirdaar ada kiya hai. Cheeni fouj ne apni safoon mein istemaal ke liye vaccine ki manzoori day di hai. Ye Vaccine CanSino Biotechnology aur military medical sciences ke idaray Beijing Institute of BioTechnology ney mushtarqa tor par tayyar ki hai. Cheeni fouj ke sarkardah science daan  Chen Wei ne apni team ki tayyar kardah vaccine ki khoraak lainay waloun mein pehal ki.