Monday, May 20, 2024
HomeSliderChina America tijarti jung, aalmi mashiyat par shadeed asraat honay lage, Asian...

China America tijarti jung, aalmi mashiyat par shadeed asraat honay lage, Asian Markets bhi mutasir

Washington : America aur China  ki tijarti jung se duniya ki badi stock markets mandi ka shikar hogayi hain jin mein Tokyo, shanghai, junoobi Korea aur Hong kong ki markets shaamil hain.

Duniya ki do badi mashiyatoun ke darmiyan jari tijarti kashmakash ki wajah se America ke baad asiayi markets bhi gir gayi hain. Tokyo ki stock market ko 2.3 feesad nuqsaan hua . Shanghai ki market 1.2 feesad tak gir gayi. junoobi Korea aur Hong Kong ki markets mein bhi kami dekhnay mein aayi.

Yaad rahay ke America 1st September se cheeni masnoaat par 111 arab dollar ki mehsoolat aa-ed kar raha hai jis ke jawab mein China  ne bhi 75 arab dollar maliyat ki Amrici masnoaat par duty laganay ka elaan kiya hai.

China  aur America ke darmiyan jari tijarti jung mein taizi ke douran China  America se 75 arab dollar ki draamdi ashya par 10 feesad duty nafiz karne wala hai. un ashya mein zarayi ijnaas, khaam teil aur chootey tayyaray bhi shaamil hain. yeh iqdaam sadar Trump ki taraf se China  se daraamad ki gayi 300 arab maliyat ki ashya par 10 feesad tax aa-ed karne ke radd-e-amal mein liya gaya hai.

China  ki taraf se naye mehsoolat 5 se 10 feesad tak ke darmiyan honge aur yeh America se daraamad ki jaane walay 5 hazaar ashya par lagai jayengi. China  Amrici gadiyon par 25 feesad duty dobarah laganay ka iradah rakhta hai jo chand mah qabal khaer sagali ke tehat is waqt uthayi gayeen theen jab dono mulkon ke darmiyan tijarti taluqaat ko behtar karne ke liye muzakraat chal rahay the.

Gadiyon ke sanat karon ne khabardaar kiya hai ke China ki taraf se yeh tax lagnay se America mein gadiyoun ki factories  mein kaam karne ke rozgaar ko khatrah la-haq hosakta hai. gadiyoun ki sanat ke ek numainday jaan ne kaha ke China ne 2017 mein jab pehli martaba gadiyoun ki daraamad par yeh duty lagai thi is waqt Amrici ki gadiyoun ki baraamdaat mein 50 feesad kami waqay ho gayi thi.

Unhon ne mazeed kaha ke Amrici kaarkunon ke sath yeh dobarah nahi honay denge. mehsoolat aur duty ko lagaye jane se America aur Europe ke hasas baazaaron mein mandi ka rujhaan hai. sadar Donald Trump ne 1st august ko China se draamdi ashya par 10 feesad duty laganay ka elaan kiya tha aur China par ilzaam aa-ed kiya tha ke China America se zarayi ijnaas khareedney ke apne wadon par amal-dar-aamad nahi kar raha. un duties ko 1st September se nafiz kiya jana tha lekin baad azan is tareekh ko 15 decemeber tak is khadshay ke paish-e-nazar badha diya gaya ke iska asr Christmas ki kharidari par padh sakta hai.

China ne kaha hai ke woh un duties ka nifaz do hisson mein karne ka iradah rakhta hai pehlay hissay par 1 September se amal hoga aur dosra hissa pandrah decemeber se nafiz-ul-amal hoga. –YTN STAFF