Thursday, March 28, 2024
HomeOthersOpinionChild Abuse: Thos iqdamat ki zarurat

Child Abuse: Thos iqdamat ki zarurat

Hyderabad. Hindustan mein taraqqi ke sath sath aqlaaqi bigaad bhi aata ja raha hai. Hum taraqqi ke maamla mein Europe ke dosh bah dosh khada rahne ki koshish kar rahe hain magar un ki naqalaqali aur taqleed mein hum un ki buraiyan ko bhi ikhtiyaar karne lage hain. Zaraye Ablagh ke aam hone ke nateeja mein behayae aur khulay pan mein izafah hota ja raha hai aur is ke asraat hamari soch wo afkaar par bhi padhney lage hain aur hamare mizaaj mein jinsi tashadud bherne laga hai. Idaroun mein  sexual harrasment ke rokthaam ke liye badi companies aur universities mein  sexual harrasment ki shikayet ki yaksoi ke liye cell qayam kiye jatay hain aur aik committee hoti hai jo is terha ki shikayaat ki samaat karti hai aur committee ki recommendations ki roushni mein idaare ka sarbarah karwae karte hai. Hyderabad ki kayi Universities mein insdaad jinsi harasani cell qaim hain. Is tarha ke cell se Faculties aur Students dono hi rujoo ho saktay hain. Universities mein chunkay talba wo talibat bhi baaligh hotay hain is liye woh jinsi harasani ki shikayat khud kar saktay hain magar Schoolon mein zair e taleem bachon mein itna shawoor bhi nahi hota hai ke woh jinsi pishrafton ko samajh saken is liye Schooli bachon ko jinsi harasani se mehfooz rakhnay ke liye aisa kuch intizam hosakay ke bachay aisi harkaton ko be naqhab kar saken aur woh fauri is ki shikayat ya to apne asateza se kar saken ya phir apne waalidain ko waaqif karwa saken. Shaher ke kuch taleemi idaron mein is ka intizam kiya gaya hai. Mahina do mahina ke waqfe se ‘ Child Abuse’ aik Programme rakha jata hai jis mein kuch NGos ke numaindon ya phir mahireen e nafsiat ko madoo kiya jata hai jo un bachon ko samajhate hain ke unhen kis tarha khud ko doosron ki ghalat aur nazebah harkaton se bachana chahiye. Unhen achi aur buri harkaton ke baray mein aagah kiya jata hai aur un ko zahen nasheen karwaya jata hai ke ‘Good Touch’ kiya hotay hain aur ‘Bad Touch’ kiya hotay hain. Unhen yeh bhi bataya jata hai ke agar koi tumhare saath gandi harkat kere to uss waqt kiya karna chahiye. Mahkuma taleem ko chahiye ke taleemi idaron mein jinsi harasani wo zayadtio ke waqhiyat par harkat mein aanay ke bajaye kuch thos iqdamaat kare aur taleemi idaron ko chand sharayet ka paband kiya jaye aur mustaqil asaas par waqfa waqfa se Schools mein aisay programmes rakhay jayen jin ke zariye bachon ko bashawur banaya jaye. Har taleemi idaray mein CCTV Cameras ki tanseeb ko laazmi kiya jaye aur aik Staff ko aisa rakha jaye jis ka kaam yahi ho ke woh sirf School ki imarat mein gasht karta rahay aur apne amlah aur bachon ki naqal o harkat par nazar rakhay.