Sunday, May 19, 2024
HomeOthersPublic InterestChild Abuse: Islamic Teachers ki tajaweez

Child Abuse: Islamic Teachers ki tajaweez

All India Islamic Teachers Association ki janib se  ‘Child Abuse’ se Bachon Bachiyon ki hifazat ke liye 23 tajaweez paish ki gayi hain. Association ki janib se mukhtalif pheluon ka jayiza lainey ke baad Walidain ke liye chand tajaweez paish ki gayeen hain jin par amal karte huwe hum apne bachon ko jinsi heerani se bacha sakte hain. Association ney is khusoos mein kaha ke be shak awam ke jaan o maal ka tahaffuz aur izzat wo aabaroo ki hifazat hakoomat waqt ki awaleen zimma daari hoti hai. Aaj hukoomat se le kar School intezamia tak tamam idaray ” Bohat Masroof” hain. Agar hukoomat kisi bhi wajah se nakaam hojaye to kiya khayaal hai hum apne lakht e jigar ko wehshi darindon ke liye chode den ke woh inhen nochte phiren nai har geez nai, to phir hamein apne tor par apne Bachon ki hifazat karna hogi, lehaza bachon khasosan masoom Bachiyon ki hifazat ke liye chand tajaweez, mashwaray aur guzarishaat paish khidmat hain:

(1) Walidain ko chahiye ke woh apne bachon ki har qisam ki hifazat az khud hi karen. Chowkidaar, School intezamia aur deegar afraad par na chod0en. Apne bachon ki lamha bah lamha khabar rakhen ke woh is waqt kahan par hain.
(2) Bachon ko batayen ke woh kisi se bhi koi cheez na len. Agar koi ajnabi ya gair ajnabi shakhs khaney peeney ki cheez ya raqam dainey ki koshish kere to har geez har geez na len. Sakhti se mana kar dein.
(3) Bachon ko bitayen ke school jatay waqt ya ghar se bahar atay jatay waqt koi shakhs apne aap ko aap ka rishta daar betaye aur aap usay phelay se na jantay hon to is ke behkaway mein har giz na ayen. Saaf inkaar kar dein. Un ke qareeb bhi na khadey hon. Un ki baat bhi na sunen. Un ki taraf dekhen bhi nai.
(4) School atay jatay waqt koi shakhs aap ko pakadney ki koshish kere to zor zor se chillate huwe School, Madrassa ya ghar ki taraf daud lagadin. Madad ke liye pukaarain. Cheekhain, chilayein, royain .
(5) Walidain rozana ki bunyaad par apne bachon ko kam az kam aik ghanta dein, aur un se rozana ki rudaad aur poooray din ki kargzari sunen. Apne bachon ko apne se itna qareeb karen ke woh har baat aap ko khul kar batadain.

(6) Apne bachon ko khud etemaad banayen. Apne bachon ko haisiyat den. Unhen achay buray ki tameez aur Dost Dushman ki pehchan sumjhaayein.
(7) Apne bachon ko pooray kapday pahenayein. Bachiyon ko bhadkeelay aur ishtial angaiz kapdey hargiz hargiz na pahenayein. 7 saal se badi bachiyon ko hijaab pahenayein aur 10 saal ke baad mukammal parda karwaen, kyun kay umooman 10 saal ki bachiyan mushteha hojati hain.
(8) Apne bachon ko khud School wo Madrassa pahonchayein aur wapas le kar aayein. Bachiyon ke maamla mein kisi par bhi aitebaar na karen. Yeh waqt aur daur shehwat parasti ka hai. Maghribi tahazeeb aur Filmon dramon ney nojawanon ko aisa darinda banadiya hai ke hama waqt masoom ko  ochkaney ke liye tayyar rehta hai.
(9) Apne bachon ko achi khoraak dein, kayun kay sahet par, halaat par, mahol par aur bachon ke aasaab aur zahen par khoraak ke asraat musallam hain.
(10) Ghar mein jab koi mard mehmaan khususan gair mehram naujawan aaye to mehmaan khana mein apne bachon aur khususan bachiyon ko hargiz akela na bhejen. Aesay waqhiyat paish aachukay hain ke haiwaan numa insaan ney apne Mehram bachiyon ko bhi na chooda .

(11) Dukanon par apni bachiyon ko akailey hargiz cheez lainey ke liye na bhejen. Agar majburan bhejna pade to samjha kar bhejen ke dukandaar koi cheez muft dein to hargiz na lein. Hans kar baat kere to jawab na dein. Agar koi dusra shakhs dukaan par khada khair khabbar maloom kere ya baat karne ki koshish kere to bilkul bhi tawajjoh na dein. Bas apni matlooba cheez le kar fauran ghar wapas pahonchain .
(12) Apne bachon ko, apne gharane ko, apne khandan ko balkay pooray muashiray ko ba-haya bananay ki koshish karen. Maghribi tahezeeb aur Tv Channel par chalne wali be-hooda Filmon aur fahush dramon ki wajah se hamara khandani nizaam toot phoot ka shikaar hota ja raha hai, chunancha  apne gharon se Tv nikaal bahar karen.
(13) Apne bachon ke hathon Android aur Camera wala balkay kisi qisam ka mobile hargiz na dein. Mobile, Whats App ki wajah se aaj naujawan nasal tabah ho rahi hai. Agar bachon ko mobile dena nihayat hi zaroori ho to un ki poori nigrani karen. vaqtan fawaqtan un ke mobile ki jaanch padtaal karen .
(14) Rozana ki bunyaad par apne gharon mein deeni taleem karen. Iss douran ghar mein maujood sab bachay, walidain aur deegar afraad maujood hon. 2 minute ki taleem ke baad halaat e hazerah se bachon ko waqfiyat den. Unhen Hushiyar karen.
(15) Agar walidain ke paas waqt na ho to bachon ke dada dadi waghera ki zimma daari lagayen ke woh bachon ki nigrani karen. Gharon mein boodhay afraad umooman farigh hi hotay hain. Bachon ko School chodne aur lainey ki zimma daari yeh hazraat bhi le satke hain. Iss tarha un ki warzish bhi hojaye gi aur bachay bhi bahifazat pahonch jayein ge.

(16) Bachon khusosan bachiyon ko tanha School, Madrassa aur Tution Center na bhejein. Poori koshish karen bahen bhaiyon ke sath ya phir gali mohalla ke deegar baetemaad bachon ke sath bhejen. Kam az  kam do bachay ya do bachiyan laazmi hon. Akailey ko shaitan uchakney ki koshish karta hai, jabkay jamaat par Allah ki rahmat hoti hai .
(17) Walidain aur asateza bachon ko apne tahaffuz aur difaa ke liye karate, Tykondo waghera ki zaroori mashq karwaen. Schoolon mein deegar khail kood ke sath sath is ko lazim qarar diya jaye. Iss se warzish bhi hogi aur difaa bhi mazboot hoga.
(18) Family System mazboot karen. Woh is tarha ho sakta hai ke jab Joint System ho, aik hi ghar mein dada dadi, sab bhai aik sath rahne ko tarjeeh dein. Jab hamaray haan yeh system mazboot tha toh masayeil bhi na thae. Ab jabkay shadi hotay hi har shakhs allag rahne ko tarjeeh deta hai to gharron mein bachay tanha hogaye hain. Un ki hifazat karne wala koi nai hota.
(19) Apne bachon ke sath waqt guzaraian aur unhen yaqeen dilayein ke hum jo kuch bhi kar rahay hain aur jo bhi pabandiyan laga rahay hain woh sab tumahray tahaffuz aur behtari ke liye hi hain. Jis din bachon ko yeh yaqeen aajay ga is din aap kamiyaab ho jaien ge.
(20) Bachon ko gahe ba gahe Aulia Allah aur naik logon ki sohbat mein le jaya karen. Murabbi se tarbiyat dilwayin. Bachay sohbat se bahut jaldi sikhte hain. Naik sohbat ke asraat muratab hotay hain. Hamaray walidain hamein aqabreen ki sohbat mein le jaya karte thea.
( 21 ) Yeh bachay aap (walidain) ke hain, un ki taleem o tarbiyat ki asal zimma daari walidain ki hi hai. walidain hi sab cheezon ke zimma daar hain. Agar walidain apni zimma daari poori karen toh masayel paida hi na hon. Har shakhs zimma daar hai aur qayamat ke din se iss ki iss zimma daari ke baray mein poocha jaye ga .
( 22 ) Apne bachon aur bachiyon ki sohbat ka bahut khayaal rakhen. Woh kin logon mein uthte baithttay hain aur kin kin logon ke sath khailtay hain. Bachiyon ko hargiz akailey mohalloon ke gharron mein na bhejen. Un ko samjhayen ke jab bhi ghar se bahar jayen to apni walida hi ke sath jayen .
( 23 ) shaneed hai ke pooray Mulk mein aik giroh hai jo masoom khusosan ghareeb aur pasmandah ilaqon ki bachiyon ko aghwaa karkay ghir akhlaqi filmein bana raha hai aur phir maghribi mumalik mein mehangay damon beech raha hai. Security idaron ko is par bhi tahaqeeq karni chahiye. Mohalla aur gali ki satah par Committees tashkeel dein, jo aanay jaane walay afraad par nazar rakhen .
Sab yaad rakhen! yeh bachay hi kal hamara mustaqbil hain. Agar un ki bunyadain mazboot hongi toh iss par khadi honay wali imarat bhi dairpa hogi.