Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaChidambaram ki CBI tehweel mein 2 September tak towsee

Chidambaram ki CBI tehweel mein 2 September tak towsee

New Delhi:  Central Bureau of investigation ( CBI ) ki khusoosi adalat se congress ke senior rehnuma aur sabiq markazi wazeer P.Chidambaram ko jummay ke din bhi koi raahat nahi mili aur khusoosi adalat nay INX media muamlay mein unki CBI tehweel ki muddat 2 September tak ke towsee kardi.

Chidambaram ki hirasat ki muddat poori honay par inhen aaj ek adalat mein khusoosi judge Ajay kumar ke samnay paish kiya gaya. judge nay dono fareeqoun ke dalail sunney ke baad sabiq markazi vazir ki CBI tehweel mein 2 September tak towsee ka hukum diya. is mauqa par Chidambaram ke betay Karti Chidambaram bhi adalat mein mojood they.

Delhi high court se uboori zamanat ki darkhwast mustard honay ke baad Chidambaram ko 21 august ki shab CBI nay girftar kiya tha. inhen 22 august ko khusoosi adalat mein paish kya gaya jahan se sabiq markazi wazeer ko 26 augst tak CBI ki tehweel mein bhej diya gaya.

Chidambaram ki hirasat ki muddat poori honay ke baad 26 august ko ek martaba phir adalat mein paish kiya gaya. CBI nay adalat se Chidambaram se pooch gach ke liye mazeed paanch din ki darkhwast ki thi. adalat nay hirasat mein aaj tak towsee kardi thi.

Chidambaram ko aaj paish karne ke baad, CBI nay pooch gach ke liye paanch din ki mazeed hirasat ki darkhwast ki. tafteeshi agency nay Daleel di ke Chidambaram pooch gach mein taawun nahi kar rahay hain aur sawalaat ka barah e raast jawab nahi day rahay hain. iske alawa is muamlay mein dosray mulzimon ke samnay bhi unse pooch gach karni hai. Supreme court ki justice R.Bhanumati aur justice AS bhopna ki bench nay kaha ke bad-unwani ke muamlay mein CBI ki tehweel mein bhejnay ke nichli adalat ko challenge karne wali darkhwast ki samaat woh 2 September ko karegi. iske baad sabiq markazi wazeer ke vakilon nay khud kaha ke woh Chidambaram ko 2 September tak CBI ki tehweel mein rehne ki paish kash kar rahay hain. dono fareeq ke dalail suneney ke baad judge nay Chidambaram ki CBI tehweel mein do September tak towsee kardi. –YTN STAFF