Monday, April 21, 2025
HomeIndiaChidambaram ki adalti tehweel mein 17 october tak towsee ki gayi

Chidambaram ki adalti tehweel mein 17 october tak towsee ki gayi

New Delhi : Delhi ki ek adalat ney INX media corruption case mein sabiq wazeer-e-khazana P.Chidambaram ki adalti tehweel mein jumeraat ko towsee kardi.

CBI Chidambaram ki adalti tehweel mein towsee ki darkhwast ke baad khusoosi judge Ajay kumar ko harne inhen 17 october tak adalti tehweel mein bhej diya.

74 sala Chidambaram ney sahet se mutaliqa pareshaniyon ka hawala dete hue tihar jail mein ghar ka khana muhaiya karne ki darkhwast ki thi. adalat ney unki darkhwast qubool karli hai. Ab Chidambaram ko jail mein ghar ka khana muhaiya kiya jayega.

CBI ney Chidambaram ko 21 August ko jorbaagh mein waqay unki rehaish gah se giraftar kiya tha. 2007 mein Chidambaram ke wazeer-e-khazana ke daur mein ghair mulki sarmaya kaari promotion board ke zareya INX media group ko 305 crore rupaye ki sarmaya kaari ki manzoori mein mubayyana be zabtgyon ke baare mein CBI ney 15 May 2017 ko FIR darj ki thi. –YTN STAFF