Monday, May 6, 2024
HomeHyderabadChicken ki qeematoun mein 400 taa 500 feesad izafah

Chicken ki qeematoun mein 400 taa 500 feesad izafah

Hyderabad: March mein Record fi Kilo 40 rupay farokht honay ke baad riyasat Telangana mein chicken ki qeematoun mein 400 taa 500 feesad tak izafah huwa hai. March mein mobayyana tor par jaali khabroun ke nateejay mein murghi ke istemaal ko COVID-19 ke marz se marboot kiya gaya tha jis ke baad mutatded Chicken Shop malikaan ne is waqt double dhamaka farokht ka elaan kiya tha aur chicken  40 rupay fi kelo aur zindah parindoun ko 15 taa18 rupay mein farokht kiya tha lekin May ke aaghaz ke baad se chicken ki qeemat aasman ko choo rahi hai.

 Is waqt chicken zinda ki qeemat 125 taa 130 rupay aur haddi ke baghair murghi 270 taa  300 rupay fi kelo gram hai. Shehar ke tajir is izafay ko riyasat mein chicken sarbarahi  mai rukawat ka sabab qarar dete hain. Yashoda Hospital ke qareeb ek murghi ki dukaan ke maalik ney media se baat karte hue kaha  Market mein murghi dastyab nahi hai kyunkay padosi ilaaqoun se aamad kam hai. Ek aur maalik ney kaha chicken kuch hi dinoun mein ek baar market mein aa rahi hai jabkay Ramadan ki wajah se talabb mein izafah ho raha hai.

 Riyasat mein rozana taqreeban 3 crore murghi aur 1 crore anday khatay hain, Jin mein se 60 feesad riyasat ke andar se milta hai aur baqi padosi reyastoun se haasil kiye jatay hain jin mein Karnataka, Andhra Pradesh aur Tamil Nado shaamil hain. Venkateshwar Rao ek Chicken Center ke General Manager KG Anand ne kaha Feb ke baad se murghi ki farokht mein kami aayi thi, Jis ke baad poultry kashtkaar apni murghi nahi paal sakay they, Jis ke nateejay mein baday pemanay par parindoun ki mout waqay huvi thi aur lockdown nafiz karne ke foran baad hi naqal o hamal ki wajah se chicken ki aamad o raft mein khalal pad gaya. Unhoun ne mazeed kaha ke qeemat mein mojooda izafah earzi hai. Anand ne kaha ke lockdown pabandioun mein narmi ke baad jald hi chicken ki qeematein kam hojaiengi. Unhoun ne kaha ke qeematoun mein izafay ke bawajood bhi kisaan munafe kamanay mein nakaam they. Unhoun ne mazeed kaha, kaashtkar Fed ki qeematoun mein izafay ke bawajood murghi aur anday intahi kam qeemat par farokht kar rahay hain. –YTN STAFF