Monday, May 6, 2024
HomeIndiaChicken aur Anday Coronavirus se ladnay mein taaqatwar ghiza: Science daan

Chicken aur Anday Coronavirus se ladnay mein taaqatwar ghiza: Science daan

Hyderabad: Science danoun ne kaha hai ke Poultry sanat ka Coronavirus se koi talluq nahi hai aur Chicken aur Anday na sirf mehfooz aur tagzeya bakhash hain balkay un mein mojood alla mayar ka Protein bemari ke khilaaf muzahmat ko mazboot banata hai. Poultry tahaqeeq ke Directorate aur Hyderabad ke Science danoun ne kaha hai ke Coronavirus jism mein bemari ke khilaaf muzahmat kam honay par logoun ko mutaser karsakta hai. Aisay mein gosht khor logoun ko bemari ke khilaaf muzahmat badhaane ke liye ghiza mein Protein ka izafah karna chahiye. Unhoun ne logoun ko mashwara diya ke kam masalhay aur tail mein achi terhan pakkay Chicken ya Anday ko baqaidagi se ghiza mein shaamil kiya ja sakta hai.

Institute ke sarbarah Science daan MR Reddy aur Chandan Paswan ne kaha ke Chicken aur Anday mein High Quality¸ Protein paaya jata hai jis se jism mein Anti Body mein izafah hota hai. Is se logoun mein qudrati tor par bemari se ladnay ki taaqat peda hoti hai. Unhoun ne kaha ke aisay logoun mein agar Coronavirus ki alamaat payi bhi jati hain to jism mein mojood bemari ke khilaaf muzahmat ki wajah se is ki haalat mein taizi se behtari aati hai.

Dr. Reddy aur Dr. Paswan ne kaha ke Poultry Farm mein parendoun ku alla mayar ki mutawazan ghiza di jati hai jin mein Vitamin, Madniyaat aur deegar ghizai ajzay shamil hotay hain. Is se un ki taizi se nashonuma hoti hai aur wo kaafi miqdaar mein Anday dete hain. Unhoun ne kaha ke mukhtalif zaraye se ghalat fehmiya phail gayi hain ke Chicken aur Anday Coronavirus ki wajah ghair mehfooz hain jabkay haqeeqat ye hai ke is se Coronavirus ka daur daur tak koi talluq nahi hai. Corona insaan se insaan mein phialta hai, Is se parindoun ka koi talluq nahi hai.

Unhoun ne yahan tak kaha ke Poultry Farm mein kaam karne walay kisi shakhs mein Coronavirus ki alamaat payi bhi jati hain to is ka is par koi assar nahi pade ga. Is douran maweshi parwari, Dairying aur mahigary ke wazeer Giriraj Singh aur wazeer mumlikat Sanjeev Kumar Balyan ne bhi kaha hai ghalat fehmiya phelnay ki wajah Poultry sanat ko zabardast nuqsaan huva hai aur is ki qeematein pehlay ke muqablay mein ek tahai se bhi kam hogayi hain. Unhoun ne kaha ke Chicken aur Anday logoun ke liye poori terhan mehfooz hain aur un ka Coronavirus se koi talluq nahi hai. Markazi hukoomat is silsilay mein reyastoun ke raabtey mein hai aur inhen munasib mashwara deya jaraha hai.

Poultry Federation Of India ne maweshi parwari aur maalyaat ke wazeer mumlikat Anurag Thakur ko arsaal kardah maktoob mein kaha hai ke Chicken aur Anday ki qeemat mein kami anay se sirf Feb mein hi Poultry ki sanat ko 3600 crore rupay ka nuqsaan huva hai. Federation ke sadar Ramesh Chandra khatri aur Secretary Rampal Singh ne kaha ke Farm Gate par Chicken 10 se 15 rupay kilo farokht ho raha hai jabkay ek kilo Chicken tayyar karne mein 80 rupay ka kharch aata hai. Unhoun ne kaha ke ek Anday par 4 rupay laagat aati hai jabkay is ki ziyada se ziyada qeemat dhai rupay hi millti hai.

Feb mein Chicken se 3000 Crore aur Andon 600 Crore rupay ka nuqsaan huva hai. Mulk mein yomiya taqriban 25 Crore Anday 20 hazaar Ton Chicken tyaar huta hai. Is douran Poultry sanat se wabasta zaraye ne kaha hai ke mulk mein 4, 5 badi companian bahami musabiqat mai gujeshta ek saal se zaroorat se ziyada Chicken ki pedawar karrahi hain jis se is ki qeemat par assar padh raha hai aur chote kisanoun ku iqtisadi tor par nuqsaan ho raha hai. –YTN STAFF