Sunday, April 20, 2025
HomeSliderChennai ko Mumbai ke khilaaf ikhraj ka khadsha

Chennai ko Mumbai ke khilaaf ikhraj ka khadsha

Sharjah: Mustaqil mayoos kun karkardagi ka muzahira karne wali Chennai Super Kings agar Mumbai Indians ke khilaaf jummay ko shikast khati hai to woh IPL se baher hojaye gi. Doosri janib Mumbai ki Playoff ke liye apna muaqqaf mustahkam karne par nigah hogi. Mahendra Singh Dhoni ki qayadat mein Chennai ne iftitahi match mein Mumbai ko shikast day kar IPL ki shandaar shuruvaat ki thi lekin is ke baad se Chennai ki karkardagi mein musalsal kami waqay hui hai. Chennai is waqt 10 matches mein 3 jeet, 7 shikaston aur 6 points ke sath 8 aur aakhri maqam par hai.

Agar Chennai is match mein nakaam hoti hai to is ka safar khatam hojaye ga. Captain Dhoni ne Rajasthan Royals ke khilaaf aakhri match ke baad aitraaf kiya ke is season mein un ka safar qareeb qareeb khatam hochuka hai. Agar Sharjah ke chhootey Ground mein honay walay iftitahi match ki terhan Chennai Mumbai ko shikast dainay mein kamyaab hojati hai to is ke liye kuch umeed hogi. Chennai ko apni umedon ko barqarar rakhnay ke liye baqi 4 match jeetnay hain aur baqi teamon ke nataij par bhi nigah rakhna hogi lekin is ke liye usay Rajasthan ke khilaaf aakhri match ki karkardagi par qaboo paana hoga.

Chennai ne Rajasthan ke khilaaf bohat kharab batting karte hue 125 runs banaye thay. Dhoni ko is mayoos kun muzahirey par qaboo paana hoga aur team ko mutharrik karna hoga warna ek azeem captain ko IPL se ghumzdaa rukhsat hona pade ga. Doosri janib Mumbai ke Captain Rohit Sharma ko dosray super over ki shikast ke baad Kings XI Punjab ke khilaaf apne aakhri match se wapsi karni hogi. Mumbai ke ab 9 Matches mein 6 fatohat, 3 shikast se 12 nishanaat hain aur Playoff mein pounchanay ke liye baqi 5 matches mein se 2 fatohat ki zaroorat hai.

Mumbai aur Punjab match ka faisla T20 tareekh mein pehli baar dosray super over mein gaya. Punjab ki sansani khaiz jeet hui thi jabkay Mumbai ko sochna pada ke unhoun ne kahan ghalti ki hai. Mumbai kamyabi ki raah par wapas anay ki koshish kere gi kyunkay woh ab tak apni karkardagi ki bunyaad par sare fehrist 2 teams mein jagah bananay mein kamyaab raha hai.