Dubai: Kolkata Knight Riders ku jumaraat ko IPL mein apne ahem match mein Chennai Super Kings se mohtaat rehna hoga jab hi un ki Playoff ki umeeden baqi reh payen gi. Kolkata is waqt 6 fatohat, 6 shikast aur 12 nishanaat ke sath table par panchwin number par hai. Chennai ke khilaaf jeet usay Playoff ki dehleez par pouncha day gi. Taham Playoff ko yakeeni bananay ke liye Kolkata ko apne baqi dono match jeetnay hon ge. Kolkata Chennai ke baad Rajasthan Royals se khailay ga. Agar Kolkata 2 Match bi jeet jata hai to is ke 14 nishanaat ho jaien ge aur phir usay deegar teams ke sath 14 points par net run rate ki paicheedgi se guzarna pad sakta hai.
Taqreeban Playoff ki daud se baher honay wali Chennai ki team Mahendra Singh Dhoni ki qayadat mein ab apne baqi 2 matches mein doosri teams ke khail ko bhikad sakti hai. Chennai ne apne pichlle match mein Virat Kohli ki captani mein Royal Challengers ku shikast di thi aur ab woh Kolkata ke liye bhi pareshani ka sabab ban sakti hai. Difai runs Chennai 12 matches mein sirf 4 fatohat aur 8 nishanaat ke sath aathween aur aakhri number par hai. Chennai ke paas ab gunwanay ke liye kuch nahi hai jabkay is ki kamyabi se Kolkata ka safar mushkil ho sakta hai.
Chennai ka baqi match aezaz jung hai taakay Tournament ka ekhtataam kuch behtar muaqqaf aur maqam ke sath ho. Chennai apna aakhri match Kolkata ke baad Kings XI Punjab ke khilaaf khailay ga. Chennai ne apne pichlle match mein Bangalore ku 8 wickets se shikast di thi. Bangalore ko 6 wicketon par 145 runs par roknay ke baad 18.4 over mein 2 wicket par 150 run bana kar aasaan fatah haasil karli thi. Is jeet ke baad Dhoni ne kaha tha ke khiladion ko nataij ki fikar kiye baghair khail se lutaf andoz hona chahiye.
Dhoni ne kaha ke nataij ki fikar kiye baghair match khelain, Baday shots lagayen aur khel se lutaf uthayen. Agar aap khail se lutaf andoz nahi ho rahay hain to yeh bohat takleef da hojata hai. Yeh wazeh hai ke Dhoni Kolkata ke khilaaf match mein baghair kisi dabao ke khelain ge aur jab koi team is andaaz mein khelti hai to woh apni behtareen karkardagi ka muzahira karti hai. Doosri janib Kolkata ko apne guzashta match mein Kings XI Punjab se 8 wickets ki shikast ka saamna karna pada. Kolkata ko 9 wickets par 149 runs ke mamooli score par roknay ke baad Punjab ne 18.5 over mein 2 wicket par 150 run bana kar aasaan fatah haasil karli. Is match mein Kolkata ki batting intehai mayoos kun rahi.
Kolkata ke captain Eion Morgan ne kaha ke is saal ek maidan se dosray maidan mein khelna challenge hai jahan wicket ki noiyat mukhtalif hai. Umeed hai ke hum aglay match ke liye Dubai ki wicket ke sath hum ahangi barqarar rakhen ge. Yeh Tournament ki noiyat hai, Kuch bhi bura nahi hai. Lekin hamein abhi wapas anay ki zaroorat hai.