Saturday, May 4, 2024
HomeLatest NewsCheeni safaratkhanoun ki duniya bhar mein tadaad America se ziyada

Cheeni safaratkhanoun ki duniya bhar mein tadaad America se ziyada

Beijing: China duniya bhar mein apni dhak bithane ke liye muashi, siyasi aur askari mazbooti par tezi se kaam kar raha hai, Is ke liye duniya bhar mein one belt one road is ki ek misaal hai jabkay jaboti mein apna fouji markaz tamer kiya huwa hai jabkay mukhtalif mumulk ke masail hal karne ke liye apna kirdaar ko agay laa raha hai. Afghan jung ke khatmay mein kirdaar wazeh misaal hai. Ab ek aur khabar aayi hai jis ke mutabiq duniya bhar mein China ke safartkhanon aur consulate khaanoon ki tadaad Americi safarti marakaz se ziyada ho gayi hai.

Tafseelaat ke mutabiq pehli martaba China ne deegar mumulk ke sath apne safarti taluqaat ustuwar karne mein America se sabqat haasil kar li hai. America ke 273 safartkhanoun ke muqablay mein China ke 276 marakaz hain. China ke 96 consulate khane hain jabkay America ke 88 marakaz hain. Australia ke Lowvy institute ke shaya kardah aalmi safartkari index ke mutabiq 2019 mein China ke safarti network mein towsee hui hai. China ne un mumulk mein bhi apne safarti marakaz khole hain jo Taiwan ko bator khud mukhtar mulk tasleem karte hain.

Yaad rahay ke Taiwan ki China se alehadgi ke baad se China ne Taiwan ki khud mukhtar hesiyat ko qubool nahi kya hai. Institute ke mutabiq Americi sadar Donald Trump ke iqdamaat ki wajah se Americi safaratkari mein jamood aa gaya hai. Trump ke daur mein America ne naye safartkhane nahi khole balkay Roos ke sath taluqaat mai kaashidki par senate Saint Petersburg mein bhi Americi consulate khanah bad karde gaya. Americi mehakma-e-kharja ne darjanoun ahem ohdoun par bhartiya bhi nahi kee.

China aur America ke baad France sab se ziyada mumulik ke sath safarti satah par rabita rakhnay wala teesra bada mulk hai. France ke duniya bhar mein 267 safaratkhane aur consulate khane mojood hain jabkay Japan chouthay aur Roos panchwin number par hai. Report mein shaya honay walay adaad-o-shumaar se China ka duniya bhar mein badhta huwa asar-o-sokh zahir hota hai. Jabkay Bartania safarti taluqaat astawar karne walay mumulk ki fehrist mai gaiyyarwe number par chala gaya hai, Jo kay Italy, Spain aur Brazil ke baad hai. Isi douran Europi mumulk mein se ireland aur Netherlands ne bhi darjanoun mumulk ke sath taluqaat ustuwar kar ke apne safarti network mein towsee ki hai taakay muashi faida uthaya ja sakay. –YTN STAFF