Saturday, May 4, 2024
HomeSliderCheena ka Coronavirus phelane ka Americi fouj par ilzaam

Cheena ka Coronavirus phelane ka Americi fouj par ilzaam

Beijing: Is waqt saari duniya Coronavirus se pareshan hai aur is Virus ki ibteda China ke shehar Wuhan se huvi hai aur ab China ne is Virus ke phelana ka Americi foj par ilzaam lagaya hai. Americi mehakma e kharja ne America mein tainaat cheeni safeer ko Coronavirus se mutaliq ilzaam lagane par talab kiya hai. Cheeni wizarat it-tila-aat ke tarjuman Zhao Lijian ne Twit mein Americi fouj par Coronavirus phelane ka ilzaam lagaya hai.

Tafseelaat ke mutabiq Americi safeer baraye Asia David Settle ne America mein tainaat cheeni safeer Cui Tiankai ko talabb kar ke cheeni tarjuman ke bayan par barhami ka izhaar kiya hai. Twit mein Americi fouj ko China ke soobah Wuhan mein Coronavirus laane ka zimma daar thehraya hai aur America se wazahat talabb ki hai.

Americi mehakma e kharja ne bayan mein cheeni hukoomat ko aalmi waba phelane ka zimmadar therate huve kaha ke ilzaam tarashi ka maqsad cheeni hukoomat par tanqeed se tavajja hatana hai. Bayan mein China ko mutnabba kiya gaya hai ke America is qisam ke bayanaat bardasht nahi kere ga. Wizarat kharja ke bayan mein kaha gaya hai ke China ka Conspiracy Theory phela raha hai jo khatarnaak aur mazhaka khaiz hai. America mein Coronavirus se hone wali halakatoun ki tadaad badh kar 47 hogayi hai jabkay 2,000 afraad virus se mutasir huve hain.

Coronavirus ke phelao ke khadshay ke pesh e nazar duniya ke kayi mumulk ne apni sarhad aamad o raft ke liye band kardi hain. Un mumulk mein Hindustan aur Pakistan sameit, Turkey, Ukraine, Denmark aur Poland shaamil hain jabkay Roos ne Europe Union ke sath fazai parwazein mehdood kardi hain. America mein Coronavirus se halakatoun ke baad sadar Donald Trump ne hungami halaat ka elaan kar diya hai. Sadar Donald Trump ne White House mein Press Conference ke douran elaan kiya ke Coronavirus se nimatne ke liye mutaliqa idaroun ko 50 Billion Dollar faraham kiye jayen ge.

Sadar Trump ne hungami halaat ka elaan karte huve Stafford Act nafiz kiya hai jis ke tehat Coronavirus se nimatne ki zimma daari reyasti hukoomatoun ke bajaye markazi hukoomat ki hogi. Congress ki janib se 1988 mein manzoor kiye gaye Stafford qanoon ke tehat muqami hukoomat aur reyastoun ki madad ke liye wifaqi imdaad faraham ki jati hai. Is imdaad ke zariye reastain baday hadsaat maslan Hurricane, Zalzaloun, Landslide, Selaab, Sunami aur Aag lagne jaisay waqeat se nimta jata hai. Sadar Trump ki janib se Department Chiefs ko likhay gaye khat mein kaha gaya hai ke sirf wifaqi hukoomat hi zurori muawnat faraham kar sakti hai aur hamaray mulk mein muta-arif hone walay Pathogen se peda shuda waba ka saamna kar sakti hai.

Trump ne apni hidayat mein National Emergency Act ki kuch shaqoun ka hawala bhi diya hai jo wazeer e sahet aur insani khidmaat ke ikhtiyar mein izafay se mutaliq hain. Stafford Act ke tehat Federal Emergency Managment Agency ( FEMA ) Disaster Relief Fund mein izafah kar sakti hai. Chand din qabal 36 Democratic Senators ki janib se Americi sadar ko likhay gaye khat mein mutalba kiya gaya tha mulk mein 2 hazaar se zayed afraad ko mutasir karne aur 47 amwaat ki wajah ban’ne walay Coronavirus ke phelao se mutaliq wasail faraham kiye jayen.

Senators ke mutabiq reyasti aur muqami numainday wabai sorat e haal ke muqablay aur America ko mehfooz rakhne ke liye mehnat se koshan hain, Aisay mein wifaqi wasail un koshisho ko mazeed tawanai faraham karen ge. Ye Fund mukhtalif maqasid maslan Testing, Tashkez, Ilaaj aur Monitoring, Tibbi alaat aur earzi panah gaahoun ke qiyam ke liye istemaal kiya ja sakta hai. Wifaqi idaray 75 feesad akhrajaat muhayya karen ge jab ke reastain baqi 25 feesad faraham karen gi. –YTN STAFF