Saturday, May 18, 2024
HomeHyderabadCharminar Unani dawakhane ke Quarantine se senkadoun afraad ki ghar wapasi

Charminar Unani dawakhane ke Quarantine se senkadoun afraad ki ghar wapasi

Quarantine ke douran Namazoun aur Telawat Qoran ke sath duaon ka ihtimaam
Hyderabad: Is waqt jabkay Hindustan ka sara qaumi Media Nizamuddin ke Tableeghi Markaz ko mulk mein Coronavirus ke phelnay ka asal zimma daar qarar dainay ki ek saazish rach chuka hai lekin kayi ilaaqoun se aisi misbet khabrain masool horahee hain jin mein Nizamuddin ka safar karne walay senkadoun afraad ki Report manfi anay ke ilawa inhen Quarantine se ghar janay ki ijazat bhi mil rahi hai aur aisi hi ek ahem khabar Hyderabad se bhi jahan Nizamuddin ka safar karne walay 200 se ziyada afraad ko Quarantine se azaadi mili.

Hyderabad ki tareekhi imarat Charminar ke daman mein mojood Charminar Unani dawakhane mein 200 se ziyada afraad ko Quarantine mein rakha gaya tha jin mein 6 afraad ki muaina Report misbet aayi thi jis ke baad inhen Gandhi dawakhane muntaqil kardiya gaya lekin baqi afraad ko yahan Quaratine mein rakha gaya tha jinhein aaj ghar janay ki ijazat di gayi.

Qauratine se ghar wapas jane walay Mohammad Abrar Ahmed ( Naam Tabdeel ) ne Media numainday se izhaar Khyal karte huve kaha ke yahan 200 se ziyada afraad ko Quarantine ki muddat mukammal karne ke liye rakha gaya tha jin mein kuch loog bairooni mumalik se bhi talluq rakhtay hain. Quarantine mein guzaray gaye auqaat aur yahan faraham ki jane wali sahuliyaat ke zimn mein izhaar khayaal karte huve unhoun ne kaha riyasat Chief Minister KCR, Muqami rukan Parliament aur deegar siyasi leaderoun neh jis terhan ke intizamaa dawakhane mein faraham kiye wo itminan bakhash hain jabkay chand ek kamiyoun ko nazar andaaz kiya ja sakta hai.

Unhoun neh mazeed kaha ke Quarantine ke dinoun mein Police, Doctors aur deegar tibbi amlah ka bartao kaafi achchca raha aur khanay ke liye sehat bakhash khezaye di gayi. Quarantine mein honay wali sar garmioun ki tafseelaat batatay huve kaha ke yahan Namaz aur Qoran kareem ki telawat ki ijazat bhi thi aur kayi kamroun mein chand dinoun ke douran hi takmeel Qoran hakeem ke ilawa is waba se duniya ko raahat milnay ke liye duayen bhi ki gayen. Alawa azeen Quarantine mein samaji doori ka khaas khayaal rakha gaya. Is mauqa par jabkay Quarantine mein mojood senkadoun afraad ko ghar jane ki ijazat di gayi to unkay afraad khandan inhen ghar le jane ke liye yahan mojood they. Dawakhane se ghar wapsi ke manazair ke Videos Social Media par jari hotay hi awam neh khushi ka izhaar kiya karne ke alawa Videos par tabsaray karne ke sath inhen apne dost ahbaab mein share kiye. –YTN STAFF