Sunday, April 20, 2025
HomeLatest NewsChandrayan 2 Chand ke safar per rawana hogaya

Chandrayan 2 Chand ke safar per rawana hogaya

Chennai: Hindustani khalayi reserch Institure ( ISRO ) ne aaj 22 July peer ko apne chaand mission ke tehat Chandrayan 2 ko kamyabi ke sath chodha. aur ek nai tareekh raqam ki.

Technical kharabi ke sabab Chandrayan 2 mission ko multawi karne ke 6 din baad hindustani khalayi jaanch agency ( ISRO ) ne aaj 22 July peer ki dopehar 2: 43 minute par aandhra pradesh ke zila Nellore ke Sri Hari kota ke satish dhawan khalayi markaz se chodha. iski ulti ginti guzashta roz shaam 6 bajkar 43 minute se shuru hui thi.

GSLVmark 3 M 1 rocket jo 600 tan wazan ko le janey ki salahiyat rakhta hai, Chandrayan 2 ko zameen ke atraaf madaar mein pohnchayega. Chandrayan2, 23 dinon tak zameen ka chakkar lagayega, aahista aahista woh zameen ke daira asar se bahar niklayga.

Rawaangi ke 30 ween din woh chaand ke atraaf madaar mein puhanchega. 13 dinon tak Chandrayan2, chaand ke atraaf madaar mein rahayga, aur 43 win din madaar se alag hoga, aur aahista aahista safar karega. 48 win din tawaqqa hai ke woh 7 September ko chaand ke junoobi qutub par utrega.

ISRO ne is se qabal 3 GSLV mark 3 M . 1 rocket bheje hain. pehla decemeber 2014 mein, dosra feb 2017 mein aur November 2018 mein. isi tarhan 2022. mein bhi is rocket ko bheja jayega. –YTN STAFF