Hyderabad: Hindustani khalayi jaanch agency ( ISRO ) nay ek ahem sang mil is waqt uboor kiya jab Chandrayaan-2 khalayi gaadi jis ko 22 July ko AP ke zila Nellore ke sri hari kota ke khalayi markaz se chodha gaya tha, chaand ke madaar mein daakhil hogaya aur 7 September ko chaand ke janoobi qutub par soft landing karega. ISRO nay kaha ke chaand par Hindustan ka dosra mission Chandrayaan- 2 mangal ko chaand ki madaar mein pohanch jayega.
Pehlay 22 din zameen ke madaar mein chakkar laganay ke baad Chandrayaan-2 nay 14 July ki subah 2: 21 bajey iska 6 din ka chand ka safar shuru kiya tha aur ab Chandrayaan-2 mangal ko chaand ke madaar mein pohanch gaya hai. zameen se chaand tak ke safar ke seedhay rastay se chaand ke madaar mein qaim karne ka mushkil amal subah saarhay aath bajey se saadhey 9 bajey ke darmiyan anjaam diya gaya.
Iske liye chaand ke paas pohanchanay par Chandrayaan 2 ke Liquid engine ko chaalo karkay Chandrayaan 2 ki simt badli gayi.
Shuru mein usay 118 kilometer zarb 18,078 kilometer ki madaar mein qaim kiya gaya. 21 august, 28 august, 30 august aur 1st September ko iski madaar mein 4 martaba tabdeeli ki jayegi. 1st September ko aakhri tabdeeli ke baad Chandrayaan -2, 114 kilometer zarb 128 kilometer ki muri hui madaar mein pohanch jayega. Chandrayaan -2 ke teen hissa hain. Orbit, vikram naam ka lender aur Pragyaan’ rover. vikram aur iske sath juda rubber 2 September ko orbit se alag hojayega aur 3 September ko unki raftaar kam ki jayegi.
Mission ka sab se ahem din 7 September ko hoga jab lander chaand ki madaar se iski satah ki taraf utarna shuru karega aur aakhir mein chaand ke junoobi qutub ke ilaqa mein utrega. chaand par utarney ke baad rover bhi vikram se alag hojayega aur 500 meters ke dairay mein ghoom kar tasaveer aur deegar maloomat jama karega. yeh mission is maienay mein ahem hai ke chaand ke junoobi qutub par aaj tak koi mulk nahi pohanch saka hai. science danon ke liye yeh shoba bilkul achoota raha hai aur wahan se milnay wali maloomat chaand ke baaray mein insani samajh ko siray se badal bhi sakti hai. is mission mein kaafi nai maloomat milnay ki umeed hai. –YTN STAFF