Hyderabad: Chand pasha aur kausar begum ki harkat insaaniyat ko sharmsaar karne ke alawa Hyderabadi tahazeeb ke badalte eqdaar aur aulaad ki tarbiyat ke tareeqa-car par nazar sani karne ke ek sang mil saabit ho sakti hai.
Chandrayangutta police hudood mein paish aaye waqiya ney insaaniyat ko sharmsaar kardiya hai, kyunkay chaand pasha aur unki biwi kausar begum ney mil kar kar 60 sala khatoon Khairun begum ko qatal kardiya tha. 48 sala chand pasha ney apni biwi 46 sala kausar begum ke sath mil kar apni hi maa ko mout ke ghaat utaar diya.
Yeh waqiya rawan saal 30 March ko paish aaya tha lekin ibtida mein betay aur bahu maqtool ki tabee mout zahir karte hue police se rujoo hue the jis par police ney laash ko post mortem ke liye Osmania dawakhana muntaqil karne ke alawa woh dafaa 174 ke tehat muqadma darj kar liya tha aur post mortem ke baad laash ko warisa ke hawalay kar diya gaya tha lekin jin doctoron ney post mortem kiya tha unhon ney apni report mein ab inkishaaf kiya hai ke maqtool ke mout qudrati nahi balkay inhen rassi ya saari se pehlay phansi di gayi jis ki wajah se mout waqay hui. is naye inkishaaf ke baad police ney muqadmay ki noiyat tabdeel karte hue usay dafaa 302 qatal mein tabdeel kar dyahe aur is muqadmay mein bahu aur betay ko girftar bhi kar liya gaya hai.
giraftari ke baad chaand pasha ney aiteraaf jurm karte hue kaha ke unki walida zindagi mein mudakhlat karti thi aur kafi pareshan karti thi jiski wajah se rozana zindagi mein masail peda horahay the. yeh sirf ek jurm ka waqiya nahi balkay hyderabad ki is tahazeeb ka siyah chehra bhi hai jahan ek janib maa jaisay taqaddus rishte ko is tarha qatal kar diya ja raha hai to doosri janib jab ghar ki saas apne betay aur bahu ki zindagi mein be-ja mudakhlat karte hue unke Khushgawar rishte ko masail ki aag mein jhonk rahi hain.
Maa, kaayenaat ki woh sab se anmol hasti hoti hai jis ke qadmon ke neechay Allah ney apni qudrat ka shahkaar jannat ko bichaa diya, maa woh hasti hoti hai jo raat raat bhar jaag kar apni aulaad ki dekh bhaal karne ke alawa woh unki parwarish mein kisi qisam ki koi kotahi nahi karti lekin badalty waqt ke sath yeh rishta is modh par pohanch raha hai jahan jahan zindagi ki talkhiyon ki wajah se beta hi maa ko qatal kar raha hai.
Is waqiya ney Hyderabadiyoun ko do pehloun par sochnay ke liye majboor kardiya hai pehla pehlu to yeh hai ke maa jab bachon ki bachpan mein parwarish karti hai to zaroori hai ke woh is baat ka ehsas apne bachon ko dilay ke woh kis tarha apne Aram ki qurbani dete hue un ka khayaal rakhti hai kyunkay aaj masroof tareen zindagi mein maaen apne bachon ko yeh ehsas dilana hi bhool gayeen hain ke kis tarha bachon ki zindagi mein maa ki ahmiyat hoti hai aur maa kis tarha un ki zindagi sanwarnay ke liye apne din aur raat ka chain qurbaan karti hai. bachpan mein jab bachon ko maa aur baap ki ahmiyat ka ehsas waqatan fauqtan dilaya jaye to unke dilon mein is rishte ki ahmiyat aur unki qurbanion ka ehsas paeda hota rahayga. bachay baday ho jayen aur unki zindagion mein hum safar ki aamad ho jaye to phir buzurag walidain ka yeh fareeza hojata hai ke woh betay aur bahu ki zaati zindagi mein be-ja mudakhlat nah karen taakay inhen aisa mehsoos nah hoke har chote badey kaam mein ghar ke buzurag rukawat paeda karte hain.
Bachpan mein behtar tarbiyat aur maa baap ki ahmiyat ka ehsas dilanay aur badey honay ke baad aulaad ki zindagi mein be ja mudakhlat se parhaiz karna gharelo zindagi ko ko Khushgawar mahol faraham karsaktha hai. Chandrayangutta waqiya se Hyderabadi khandano ko sabaq lainay ki zaroorat hai aur khawab ghaflat se jagtay hue apne bachon ki tarbiyat mein kotahyon se parhaiz karna chahiye warna yeh waqiya kisi aur ghar mein bhi runuma ho sakta hai jahan ek buzurag maa ke qatal ke baad phir unki aulaad salakhon ke peechay qaid ki museebat mein mubtala ho sakti hai. –YTN STAFF