Friday, May 17, 2024
HomeLatest NewsChand par utrney ka Israeli mansoobah nakaam

Chand par utrney ka Israeli mansoobah nakaam

Tel Aviv-Yafo: Israel ka chand per apne khalayi jahaaz ko utaarnay ke khawab aakhri lamhaat mein nakaam hogaya jis se jashnn ka jo mahol tha woh achanak mayoosi mein badal gaya. Ek Israeli khalayi jahaaz zameen se apna rabita khodene ke baad Chand per  utrney se chand lamhay qabal khalaa mein tabah hogaya .

Tafseelaat ke mutabiq khalayi jahaaz ka zameeni control se rabita is waqt munqita hua jab woh Chand per  utrney ke hatmi marahil mein tha jis ke chand lamhoon baad hi mission ko nakaam qarar day diya gaya. Israeli Aerospace industries ke ek ohdedar ne tasdeeq karte hue kaha ke hamara khalayi jahaaz yaqeenan chand ki satah par tabah hochuka hai, tey shuda landing ke maqam par khalayi jahaaz ka malba moujood hai .

Khalayi jahaaz ka engine landing se qabal ain waqt par munqita hua aur jab tak tawanai bahaal hui khalayi jahaaz bahifazat utrney ke liye intahi teizi se harkat kar raha tha taham science daan abhi tak nakami ki wajohaat jannay ki koshish kar rahay hain .

ohdedar ne kaha ke pehlay jamood ki pemaiesh karne wala unit kharab hua jis ke baais kharabion ka silsila chal nikla jis ke barey mein hum abhi yakeeni tor par kuch nahi keh sakte. hamein sirf itna maloom hai ke engine band hua aur engine band honay ke baad khalayi jahaaz tabah hogaya .

Mission se munsalik science daan jo chand lamhay qabal khusi se jhoom rahay they ek dam hosh wo hawas se be ganah aur pareshan nazar aeye aur jahan bhi is manzar ko mulahiza kiya ja raha tha wahan jashnn ke intizamaa dharay ke dharay reh gaye .- YTN STAFF