Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaChadnrayaan 2 chand par soft landing mein nakaam, aakhri lamhaat mein rabta...

Chadnrayaan 2 chand par soft landing mein nakaam, aakhri lamhaat mein rabta toot gaya

Hyderabad : Chadnrayaan 2 ki soft landing se qabal hi rabta toot gaya aur is-tarah guzishta ek mah se chal rahi science danoun ki koshish achanak aakhri lamhaat mein kamyabi ka daman thaamnay se mahroom hogayi.

Guzishta raat Bangalore waqay ISRO ke center mein moujood science danoun ke chehray per muskurahat thi aur unke sath Narendra Modi bhi center mein baithe baghore Lander Vikram ki chand ki satah par soft landing dekhnay ke liye be-qarar they.

Hindustan ke sirf science daan hi nahi balkay poora mulk der raat tak jaag raha tha aur ek tareekhi nazare ka gawah ban’nay ke liye tayyar tha kyunkay Chadnrayaan 2 mission ki live streaming chal rahi thi. lekin phir woh aakhir ke 15 minute mushkil saabit hue jahan is mission se talluq rakhnay walay Sciencdan aur ISRO ke chairman Kailasavadivoo Sivan bhi ghabraye hue they. taqreeban 2 bajey Vikram Lander ka rabta ISRO se toot gaya aur is waqt woh chaand ki satah se mehez 2.1 kilo meter door tha lekin is chaand mission ko mukammal karne ke jitne qareeb hindustani Science daan pohanche, is ke liye unhein poori duniya mubarakbaad day rahi hai.

Lander Vikram ki soft landing par poori duniya ki nazar thi aur sab kuch mansoobah ke mutabiq chal raha tha. sabhi yahi soch rahay they ke chaand ki satah par Lander ke utarney mein ab bohat ziyada masla nahi hoga. jummay ki der raat taqreeban 1.38 bajey chaand ki satah par Lander Vikram ko utaarney ka amal shuru kiya gaya tha. taqreeban 1.44 bajey Lander ne rough breaking ke marhala ko paar bhi kar liya tha. iske baad science danon ne is ki raftaar dheemi karni shuru ki. 1.49 bajey Vikram Lander ne kamyabi ke sath apni raftaar bhi kam kar li thi aur woh chaand ki satah ke be-hadd qareeb pohanch chuka tha, lekin iske baad achanak iska rabta Bangalore mein mojood ISRO ke center se toot gaya.

Jab Chandrayaan 2 mission ke bilkul aakhri marhala mein Lander se control room ka rabta toota to achanak wahan ek sannata sa pasar gaya aur science danon ke chehray utar gaye. kisi ko bhi samajh nahi aa raha tha ke aakhir aisa kya hua ke rabta toot gaya. bataya jata hai ke ISRO ke control room mein lagi screen par aarahay data ne achanak kaam karna band kar diya. iske baad ISRO cheif Kailasavadivoo Sivan baithe Modi ki taraf badhay. ISRO cheif ne PM ko haadsa ki jankari di aur bahar nikal gaye. kuch hi der mein ISRO ne control room se apni live Streaming bhi band kardi.

Narendra Modi ne to ISRO mein mojood science danon ki hosla afzai ki hi, sadar jamhooria Ramnath kovind, congress ke sabiq sadar aur rukan-e-parliament Rahul gandhi, bhutan ke Wazeer-e-Azam Lotay Tshering jaisi kayi shakhsiyation ne hindustani science danon ka hosla badhate hue unhein agay ke liye nek khwahisaat paish ki hain.

Sabhi Hindustan aur iske science danon ko is ke liye mubarakbaad day rahay hain ke unhon ne kamyabi ke sath chaand ki is satah se mehez 2 kilo meter door tak rasai ki jahan ab tak koi mulk apne mission ki landing nahi karsaka hai. lekin ISRO ke chairman is baat se kaafi takleef mein nazar aaye ke bohat qareeb pohanchanay ke baad Lander Vikram ka ISRO se rabta toot gaya. unki aankhon mein ansoo aagaye aur ek video mein Modi unhein galaay laga kar housla badhate hue nazar aaye.

Narendra Modi ne Vikram Lander se ISRO ka rabta totnay ke baad wahan science danon se mukhatib hotay hue kaha ke aap ne bohat ahcha kaam kiya hai, zindagi mein utaar chadao aatay rehtay hain aur yeh safar jari rahega. unhon ne mazeed kaha ke jab mission bada hota hai to mayoosi se agay nikalne ki himmat honi chahiye. meri taraf se aap sabhi ko bohat mubarakbaad. aap ne mulk ki aur insaaniyat ki badi khidmat ki hai.

Congress leader Rahul gandhi bhi der raat tak jaag kar hindustani science danoun ki kamyabi ka nazarah barah-e-raast dekh rahay they. phir jab unhein Vikram Lander se ISRO ka rabta totnay ki khabar mili to unhon ne tweet karte hue likha ke yeh har hindustani ke liye ek targheeb hai. ISRO ki team ko Chandrayaan 2 chaand mission par shandaar kaam ke liye mubarakbaad. aap ka junoon aur khud-supurdgi har hindustani ke liye targheeb hai.

Vikram ke chaand ki satah ke qareeb tak pohanchanay mein ISRO ki team ki koshisho ki tareef karte hue Rahul gandhi ne kaha ke aap ka kaam be-car nahi jayega. isne kayi behtareen aur darina hindustani khalayi mission ki bunyaad rakhi hai.

Congress ke twitter handle se bhi ISRO ka housla badhaane wala paegham jari kiya gaya. is mein likha gaya ke is mushkil waqt mein poora mulk ISRO ki team ke sath khada hai. aap ki mehnat Shaqeh aur khud-supurdgi ne mulk ko fakhr ka mauqa faraham kiya hai. jai hind. –YTN STAFF