New York: NASA ne mireekh ki insani talaash ki tayari ke liye Chaand ke apne Artimus mansoobah ka elaan kiya hai. NASA ne inkishaaf kiya ke woh 2024 mein pehli martaba kisi khatoon ko Chaand par bhejnay ka iradah rakhta hai. NASA ne apne Artimus program ka khaka shaya kiya aur erada zahir kiya hai ke aglay mard aur pehli aurat ko 2024 tak qamri satah par rawana karna is ke mansoobay mein shaamil hai.
Aakhri baar NASA ne insaan ko 1972 mein Apollo qamri Mission ke douran Chaand par bheja tha. Artimus III 2024 mein Chaand par pehli khatoon aur dosray mard ki hesiyat se rawana kere ga aur is ke zareya America aalmi khalayi qayadat ki ek nai tareekh raqam kere ga. NASA ne Artimus mansoobay mein mazeed kaha hai ke Chaand ki ا Exploration ki salahiyat dobarah qaim honay ke sath hi, NASA aur duniya mireekh ki insani talashi ki tayari mein qamri satah par ek mustaqil mojoodgi tayyar karne ke qabil ho jaien ge.
Yaad rahay ke 1959 mein Soviet Union ka Luna 1 aur 2 Chaand par jane wala pehla mission tha. Is ke baad se 7 mumalik ne is ki pairwi ki. Is se pehlay ke America Apollo 11 mission ko Chaand par beje is ne 1961 se 1968 ke darmiyan Robotic Mission ki 3 classes bhaije theen. July 1969 ke baad 12 Americi khalabaz 1972 tak Chaand ki satah par puhanche. Apollo khalabazon ne 382 kilogram qamri chattaan aur matti ko mutalea ke liye zameen par laya.
Baad azan 1990 ke diye mein America ne Robotic Missions Clematin aur Lunar Prospects ke sath Chaand ki khoj ko dobarah shuru kiya. 2009 mein is ne LC Roos aur Leoner Crater Observation aur ke sath hi Robotic Lunar Mission ki ek nai Series ka aaghaz kiya tha.