Wednesday, May 15, 2024
HomeSliderCcoronavirus ki dawa, America aur Germany mein sard jung

Ccoronavirus ki dawa, America aur Germany mein sard jung

Berlin: Germany aur America ki hakoomaten naye mohlik aur wabai marz Coronavirus ke khilaaf banai janay wali ek Vaccine ( Dawa ) par ek dosray ke mad-muqabil aagai hain. Report mein Germany ke ek akhbar ke hawalay se bataya gaya ke Germany ki ek Company CureVac ki janib se Coronavirus ke khilaaf ek Vaccine ki tayari par kaam horaha hai.

Report mein zaraye ke hawalay se bataya ke Americi sadar Donald Trump ne is Vaccine par kaam karne walay German Science danoun ko khatere muawzay ki peshkash ki hai kyunkay wo un ke kaam ke hoqooq haasil karna chahtay hain. Doosri janib Company ne German akhbar ki Report ko mustard kardiya hai. German akhbar ne hokoomati zaraye ke hawalay se mazeed kaha ke Donald Trump wo sab kuch kar rahay hain jis se America ko ek Vaccine mil sakay jo sirf America ke liye ho.

CureVac ki sab se badi sarmayakar Dievini Hopp Biotech Holding ke sarbarah Christof Hettich ne kaha ke America se koi khaas moahida mumkin nahi. Unhoun ne kaha hum poori duniya ke liye Vaccine tayyar karna chahtay hain, Sirf chand mumalik ke liye nahi. German wazeer e sahet Jens Spahn ne German TV se kaha ke ke un ki wizarat guzashta 2 haftoun se company se baat cheet kar rahi hai aur Americi baladasti ka sawal hi peda nahi hota. Junoob maghribi Germany se talluq rakhnay wali Company Paul Ehrlich Institute ke sath kaam kar rahi hai jis ka talluq German wizarat sahet se hai, Is company ke dafatir Frankfort aur Americi shehar Boston mein bhi hai.

Company ko tawaqqa hai ke tajribati Vaccine June ya July tak tayyar hojaye gi aur phir logoun par is ki azmaish ki ijazat mil sakay gi. Company ke shareek baani ne kaha ke ke mutadid mumkina Vaccines par tahaqeeq horahee hai aur un mein se 2 sab se behtar ko Clinical Tests ke liye muntakhib kiya jaye ga. Khayaal rahay ke China ke shehar Wuhan se Decemeber 2019 mein shuru honay wala Novel COVID 19 ( Coronavirus ) ta dam tehreer duniya ke taqreeban 156 mumalik tak phail chuka hai aur is ne duniya bhar mein ek lakh 56 hazaar 400 se zayed afraad mutasir kiye they.

Ab tak duniya bhar mein Coronavirus ke ek lakh 56 hazaar 400 mareezoun mein se 73 hazaar 986 mareez sahet yab ho chuke they jab ke 82 hazaar 432 afraad ta haal bemari ka muqaabla kar rahay hain. Is German Company ke sabiq CEO Daniel Menichella ne 2 March ko White House mein ek ijlaas mein shirkat karkay Coronavirus ke hawalay se Vaccine ki tayari par Americi sadar aur un ki qayem kardah Task Force ki Team baat ki thi lekin 11 March ko Company ne Daniel Menichella ko badalty huve baani Ingmar Hoerr ko un ki jagah day di aur koi wajah bayan nahi ki. –YTN STAFF