Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaCBI nay Chidambaram ki paanch roza tehweel ki maang ki

CBI nay Chidambaram ki paanch roza tehweel ki maang ki

New Delhi : Istighasa nay jumaraat ke roz sabiq wazeer-e-khazana P.Chidambaram ki paanch roza tehweel ki maang ki, jinhein Chaharshambe ki shab INX Media case ke silsila mein CBI nay girftar kiya tha. Rouse Avenue court mein Solicitor General Tushar Mehta nay tehweel ki maang ki, jahan Chidambaram ko CBI head quarter se sakht security mein laya gaya tha.

Adalti samaat ke douran, istighasa nay kaha ke tafteesh se maloom hua hai ke is maamla ki ek mulzim Indrani Mukherjea nay paanch million ki adaigi ki thi. istighasa nay yeh bhi isted-lal kiya ke jab inhen mazkoorah dastaweez dikha ya gaya to, Chidambaram khamosh rahay.

Mehta nay Delhi high court ke is hukum kabhi hawala diya hai, jis mein Chidambaram ki paishgi zamanat se inkaar kiya gaya tha aur inhen aayi INX Media case mein ”Kingpin“ kaha gaya tha.

Chidambaram par INX Media ko ghair mulki sarmaya kaari ko farogh dainay ke liye ghair mulki sarmaya kaari promotion board ( FIPB ) ki manzoori ka ilzaam hai. jab woh 2007 mein UPA hukoomat ke douran markazi wazeer-e-khazana the. –YTN STAFF