Thursday, April 25, 2024
HomeIndiaCarona ke Aalawa har saal 5 - 8 lakh hindustanioun ki deegar amraaz e...

Carona ke Aalawa har saal 5 – 8 lakh hindustanioun ki deegar amraaz e maut

New Delhi : Hindustan main sab ki tawwajju  is wakt  carona ki dusri laher se hone wali amwaat per hai, lekin is wakt yah bhi zaruri hai ke hum deegar masail per bhi tawajju markuz kare. Gudishta do daha oun main mulk main amwaat ki ek aur aham wajah samne aae hai, ek andaze ke mutabiq har saal  5-8 lakh Hindustani ghair mutabi amraaz (NCD) se mar jaate hai in main Cancer, Zyabati beqabu  high blood Pressure aur Qalbi amraaz shamil hai, in main se muhalliq bimarioun main se zyada ter ka ilaaj qahi mushkil hai lekin giza main tabdili ke zarae in per qabu pa ja sakta hai.

Deegar taraqqi  pazeer  mumalik ki tarha bhi Hindustan main duba bandh qur nooshi  ashiyah ki istemaal main izafa hua hai, aam taour per in main cheeni aur namak zyada hota hai, aur kharaab charbi ka istemaal kiya jaata hai, is ka istemaal dahi ilaqaun main bhi hota hai, tamaam mashrati  firqaou main bhi hota hai is liye duba bandh Qhanoun istemaal kiye jaane wale teenno nuqsan woh  ajza ko zyada sakthi se qabu paan zaruri  hojata hai , in ka zyada istemaal  (NCD) bahraan ke liye  indhan ki tarah hai.

ALSO READ:-Lockdown ke douran manshiat ke istemaal mein tashweesh-naak had tak izafah

Breast feeding promotion network of India (BPNI) ne nutrition auducacy in public interlet (IFI )  appid molegical foundation of India (IFI) Peadetric and adlist Nutrition society (PAAN) ne mushtarika taur per ek  webinaar ka ahtemaam kiya is main Hindustan main processed aur intihae processed ashiyahiya khurdani ki khapat ki hidayat ek mazboot nutrition profile model (NPM) ki ahmiyat per tabadila qayaal  kiya gaya hai, Mahereen doctor,s aur senior science danoun ne  raza mandi zarurat per tabadila qayaal kiya, bilkusus recordoun jaise giza sanat ki muqafilat ki roushini main Brazil , Mexico aur South Africa  ne in ajza namak cheeni aur charbi ki science hudood apna te hue faisla kun kadam uthaya hai khaas taur per bachaun ki nutrition profiling foods aur mashrubaat ki darje bandhi ka ek science tariqa maujud hai aur yah inki tashkeel main maujood Gizayaat per manbani hai.