New Delhi : Sarkari tel companiyon ne petrol pumps per credit card ki adaigi par taqreeban do saal qabal jo riayat muta-arif karwai thi woh ab band kardi ja rahi hai. is se qabal credit card istemaal karne walay sarfeen petrol pumps par eendhan khareedne ke douran 0.75 feesad riayat haasil kar sakay they. yeh tel companiyon ne digital adayigyon ko farogh dainay ke maqsad se muta-arif karwai janay wali sahoolat thi. is sahoolat ko khatam karne ke zimn bank ki janib se ek tweet kiya gaya hai.
SBI credit card holder, jaisa ke public sector ki oil marketing companiyon ke mashwaray ke mutabiq, eendhan ke lain den par 0.75 feesad cash back ko 1st october 2019 se band kardiya jayega, mulk ke sab se badey bank ne apne credit card sarfeen ko ek text pegham ke zareya yeh ittila di hai. 2016 ke aakhir mein note bandi ke baad, hukoomat ne indian oil corporation ( IOC ), Bharat petroleum corporation ltd ( BPSL ) aur Hindustan petroleum corporation ltd ( HPSL ) se kaha tha ke woh eendhan ki kharidari ke liye card ki adaigi par 0.75 feesad ki riayat day.
oil marketing companiyon ko credit, debit card ke ke zareya eendhan ki kharidari par 0.75 feesad ki takhfeef ke nateeja mein ziyada bojh ka saamna karna padh raha tha jo decemeber 2016 mein muta-arif karwaya gaya tha aur dhai saal se ziyada arsa se jari hai. naqad adaigi par takhfeef ke alawa hukoomat ne OMES ko bhi card ki adaigi ke ziyada bojh ko bhi bardasht karne ki Hidayat di thi jisay merchant discount rate ( MRD ) kaha jata hai, jo aam tor par retails ada karte hain.
Is shoba ke ek ohdedar ne kaha hai ke tel companiyon ne 1st october se tamam credit card ki adayigyon par riayat khatam karne ka faisla kiya hai. taham, debit card aur adaigi ke deegar digital tareeqon par discount jari rahay gi. 2017-18 mein, tenun eendhan retails ne MDR bardasht karne ke liye adaigi ki chooth mein 1165 crore rupay aur bankon ko majmoi tor par 1431 crore rupay ki mad mein 266 crore rupaye ada kiye. yeh adaad shumaar is ke baad jab digital lein deen ko farogh mila to 2016 mein 10 feesad se badh kar 2018 mein 25 feesad se ziyada hogaye they.
Delhi mein fil haal petrol ki qeemat 74.13 rupay hai jabkay ek litter diesel ki qeemat 67.07 rupay hai. hukoomat ne 8 November 2016 ko puranay 500 aur ek hazaar rupay ke noton ko khatam karne ke ek mah baad insurance policies, rail ticketon aur high way toll charges ke liye online adayigyon par takhfeef sameit deegar iqdamaat ka elaan kiya tha jis ka maqsad digital cash ko farogh dena tha.
Decemeber 2016 mein online kharidari, aam insurance masnoaat par 10 feesad aur online kharidari life insurance par 8 feesad riayat ka elaan kiya gaya tha. railway ke musafiron ko hosla afzai ki gayi ke muzafati railway net works ke liye mahana aur season E-ticket par 0.5 feesad ki chooth ke sath cash less hojaien. isi tarhan jin logon ne digital adaigi ki ya card istemaal kiye unhein shaahrahon par toll plaza par 10 feesad ki chooth mili.
Is ke alawa 2 hazaar rupay tak ki adayigyon ke liye credit ya debit card ke istemaal par service tax mein chooth ka elaan kiya gaya tha. decemeber 2016 mein aisi len den par 15 feesad tax aed kiya gaya tha. fori tor par yeh maloom nahi ho saka tha ke aaya un tamam chooth ko wapas liya gaya hai yeh nahi. decemeber 2017 mein hukoomat ne elaan kiya tha ke digital len den ko farogh dainay ke liye debit cards, ke qabil adaigi ke nizaam ke zareya 2 hazaar rupay tak ki lain den par woh MDR charges bardasht karegi. yeh bhi elaan kiya gaya tha ke merchant discount rate ( MDR ) hukoomat bankoun ko isi tarhan muawzay ke zariye 1st January 2018 se do saal tak bardasht karegi. –YTN STAFF