Saturday, May 18, 2024
HomeJurmCar neher mein gir padi. 2 afraad ghark. AP mein waqea

Car neher mein gir padi. 2 afraad ghark. AP mein waqea

Amravati: AP ke zila Guntur mein pesh aaye sadak haadsa mein Car neher mein gir padi 2 afraad halaak hogaye. Ye haadsa zila ke Gokaranamatham mandal mein aaj subah ki awleen sa-aton mein pesh aaya. Ye afraad Nizampatnam mein shadi ki taqreeb mein shirkat ke baad wapas ho rahay they ke un ki Car chalanay walay ney is ka tawazun khodiya aur ye Car neher mein gir padi.

Rahgiron ney Car mein sawaar 3 afraad mein se 1 shakhs ko bachanay mein kamyabi haasil ki taham deegar 2 ghark hogaye. Ittila meltay hi police wahan pohanchi aur gharq afraad ki shanakht Sambasiva Rao, Rajender  ke tour par ki. Police ney is silsila mein ek maamla darj karkay jaanch shuru kar di.