Saturday, May 18, 2024
HomeHyderabadCar Ke Khilaaf 98 Hazaar Ke Challan, Kahin Aap Ki Gadi Par...

Car Ke Khilaaf 98 Hazaar Ke Challan, Kahin Aap Ki Gadi Par Bhi To Jurmana Nahi

Hyderabad: Agar aap shehar ki sadkon par be khauf hokar gadi chalatay hain to aap ko ek lamhay ke liye yeh sochnay ki zaroorat hai ke kahin shehar ke kisi traffic signal ya sadak ke kinare traffic ohdedar aap ki gadi ko zabt bhi kar sakte hain kyunkay aap ki gadi par traffic qanoon ki khilaaf warzi ki Padaash mein kayi ek  Challan mojood ho saktay hain aur aap khud apni gadi ke khilaaf mojood jrmanon se waaqif hi nahi hotay lekin achanak traffic police aap ko roktay hue gadi ke khilaaf mojood jurmano ki fehrist batanay ke alawa ziyada jurmano ki wajah se aap ki gadi bhi zabt kar sakte hain. ek  taaza waqea mein is waqt hyderabad mein ek  car jis ke khilaaf 98 hazaar ke Challan darj they usay rok kar zabt kar liya gaya .

Tafseelaat ke mutabiq SR Nagar traffic police nay gadiyoun ki checking ke douran ek  toyota etios car ko roka jis ke khilaaf 78 Challan darj they jinke qeemat 98 hazaar rupay they. is gadi ko rok kar jab tafseelaat haasil ki gayeen to traffic ohdedar haeran reh gaye ki is car ke khilaaf ek , do ya teen nahi poooray 78 Challan darj hain jin ki qeemat taqreeban ek  laakh rupiye hain. traffic ohdedaron nay car ko zabt karte hue car ke maalik ko pehlay jurmane ki adaigi ki Hidayat di, jis ke baad car ko jaaney ki ijazat di gayi. is car par 2017 se jo challan darj kiye jarahay they unki tadaad 78 ho chuki thi .

Is waqeye ke baad traffic police nay awam ko mahswara diya hai ke woh waqtan fa waqtan apni gadi ki tafseelaat traffic police ki Website se haasil karte rahen aur agar gadi ke khilaaf traffic qanoon ki khilaaf warzi ki Padaash mein agar koi jurmana hai to usay foran ada karte hue mushkil sorat e haal se khud ko mehfooz rakhen kyunkay basa auqaat aisa bhi dekha gaya hai gadi sawar zaruri kaam ke liye jaldi mein manzil maqsood ki simt rawan dawaan hota hai lekin iski gadi ke khilaaf traffic qanoon ki khilaaf warzi ki wajah se jurmanon ki tadaad itni badh chuki hoti hai ke traffic ohdedar bhi gadi ko zabt karne par majboor ho jatay hain lehaza behtar hai ke traffic police ki Website par apni gadi ke khilaaf moujood Challan ka jaiza liya jata rahay aur waqt par unki adaigi karte hue khud ki kisi bhi mushkil soorat e haal se mehfooz rakha jaye. aap apni gadi par Challan ka jaiza mandarja Website ke zareya le sakte hain .

https : / / echallan. tspolice. gov. in / publicview / -YTN STAFF