Tuesday, May 7, 2024
HomeHyderabadCampus mein talba ke tahaffuz ko yakheeni bananay governor ki Universities ko...

Campus mein talba ke tahaffuz ko yakheeni bananay governor ki Universities ko hidayat

Hyderabad: Riyasat-e-Telangana ke Governor Dr Tamilisai soundarajan ne Tamam universition ke vice governor ne kaha ke talba ki sehat ka khaas khayaal rakhnay ke alawa unke tahaffuz aur zehni wo ghizai aitebar se tahaffuz ki kaafi ahmiyat di jaye ab jabkay 1st feb se baqaida classes ka aaghaz horaha hai lehaza tamam universities ke hukkaam ko ahteyati tadabeer par khas tawajah markooz karni hogi.

Governor Telangana ne universities ke vice chancellors aur registrars ke sath colleges ki kushadgi ke silsila mein corona waba se ahteyat ke liye har iqdamaat ka jaiza liya. Governor ne kaha ke markaz aur riyasat ki janib se corona par qaboo panay ke iqdamaat aur vaccine ki tayari ke nateeja mein collegeon ki kushadgi amal mein layi jarahi hai. Unhon ne mazeed kaha ke hamein talba ki sehat aur unke tahaffuz ke liye chonke rehna hoga.

Governor ne mazeed kaha ke campus mein hukoomat ke tamam ahteyati tadabeer jaisay samaji faasla, Mask ke istemaal, sanitisers ki mojoodgi ko yakheeni banayajaye. Governor ne online classes aur imtehanaat ke ineqad ke zareya nataij ke elaan par wise chancellor ki sataish bhi ki aur kaha ke is se corona bohraan ke bawajud talba ko aala taleem ke husool mein madad mileygi. Governor ne kaha ke Telangana malik ki awaleen Reyaston mein shaamil hai jahan online classes ka aaghaz kya gaya. Hamein campus ko mehfooz banatay hue doosron ke liye misaal qaim karna chahiye taakay Hindustan mein mayaari taleem ka silsila jari rahay. Governor ne universition ko mashwara diya ke woh talba ki sehat ke halaat ke mutabiq inhen behtar khidmaat faraham kare. Unhon ne kaha ke classes mein shirkat karne walay talba ka hosla badhaya jaye aur inhen zehni tor par mustehkam rakha jaye.