Mulzimeen ney peerana saal Americans aur ghair qanooni tarkin watan ko hukoomat ko mobayyana raqam ki adam adai par giraftari ki dhamkiyan dete hue dhoka dainay Bharat mein Call Centres qaim kiye thay.
American mehkuma Insaaf ney jummay ko elaan kya ke Texas ki aik Adalat ney hind asasi aik farzi Call Centre aur money laundering scam ke 21 arkaan ko mukhtalif noiyat ki sazayen tajweez ki hain, deegar teen ko Jaria saal ke awail mein saza di ja chuki hai. Un shehrion ko 20 baras tak jail ki saza sunai gayi hai. Tafseelaat ke mutabiq American adalat ney scandal mein mulawwis 21 Bharati naujawanon ko 4 se 20 saal ki saza sunai hai, Call Centre agent museebat mein phansay Americans ko value cards khareedne par dabaau daaltay thay jabkay inkaar ki soorat mein unhen giraftari ki dhamki dete thay. jaali Call Centre ka hadaf umar raseedah American shehri aur ghairqanooni taarkin watan the jabke saza mukammal honay ke baad mutadid zair e hirasat mujrimon ko Mulk badar kardiya jaye ga. Mehakma Insaaf ney bataya ke mulzimeen ney Bharat mein Call Centre qayim kiye thay, jin ke zareya American zaeef shehrion aur ghair qanooni taarikeen ko American tax ya Emigration Department se zahir karte hue jurmane ada karne ya phir giraftari ya malik se ikhraj ka saamna karne ki dhamkiyan diya karte thay. Mehakuma ney 56 afraad aur 5 Bharati Companiyon par shanakhti chori, American ohdedar ka talbees shakhsi karne, barqi dhoka dahi aur money laundering ki saazish karne ke ilzamaat waza kiye thay. Maharashra ke Thane zila mein Police ney October 2016 mein taqreeban 500 Call Centre mulazuimeen ko hirasat mein liya tha. Ohdedaron ney kaha tha ke yeh racket rozana taqreeban aik crore rupay ainth raha tha. American Federal Bureau ney 15 october 2016 ko Bharat ki qanoon nafiz karne wali agencies ke sath mil kar tehqiqaat ka aaghaz kya tha. baadazaan un mulzimeen par ilzamaat waza kiye gaye aur saabit honay par inhen saza sunai gayi. saza ki takmeel ke baad un mulzimeen ko malik badar kardiya jaye g.