Do hafton se lagi aag par qaboo panay 3, 900 afraad din raat lagey hue hain. Ab tak 80 ghar tabah ho chukay hain. Jheel ke dono janib lagi is aag ne 443. 4 murabba miles ko apni lapait mein le liya hai.
Americi riyasat California ke shumali ilaqa mein do hafta qabal lagi aag mumlikat jadeed ki tareekh ki sab se badi aag banti jarahi hai. Un janglaat mein lagi aag tareekh ki bhayanak tareen aag ban gayi, taqreeban 2 laakh 83 hazaar se zayed aekar par phaily aag bujhanay ke liye tayyaron ki madad le li gayi. California ke jungle mein lagi aag ke sholay aur dhowen ke baadal meilon door se dekhe jasaktay hain. Bhadakti aag ne 80 se zayed ghar tabah kardiye aur 7 log halaak ho chukay hain jabkay hazaron afraad ko ghar choadnay par majaboor kardiya. Aag par qaboo panay din raat 3, 900 ka amlah tag o dou kar raha hai. Yeh aag sab se pehlay 27 July ko lagi thi. Yeh tareekh ki panchwin bad tareen aag hai.Is aag ko 2017 mein lagnay wali aag se bhi khatarnaak qarar diya ja raha hai jis ne Santa Barbra aur Ventura Counties mein 2 laakh 81 hazaar se zayed acres arazi jala kar khaak kar di thi. Shulon ki yeh lapait New York shehar se bhi badi hai aur ab Los Angeles ke size ki hoti jarahi hai. Is aag ko Mendocino Complex Fire se mousoom kya jata hai jo darasal ‘Clear Lake’ ke dono janib lagi do aag hain. Garam hawaon ka mausam aur sookhi ghaas aag par tail ka kaam kar rahay hain. Un do fires ke darmain ka faasla ab baa-mushkil 3 kilometer hi rah gaya hai. Is aag ne 443. 4 murabba miles ko apni lapait mein le liya hai .
Amrici riyasat California ke governor Jerry Brown ne janglati aag ki shiddat dekhte hue wifaqi hukoomat se imdaad talab kar li hai. Brown ne kaha hai ke be-qaboo aag ko control karna aik intahi mushkil amal hai aur reyasti wasail na kafi hain. Unhon ne yeh bhi kaha ke aag se mutasirah ilaqa ki public health aur tahaffuz ko barah e raast shadeed khatraat ka saamna hai aur un mein kami laane ke liye markazi hukoomat ki izaafi imdaad zaroori hai. Sadar Trump ne bhi samaji rabita Website par pegham jari karte hue usay riyasat ki tareekh ki badi aafaat qarar diya hai. Tarjuman White House ka kehna hai ke mutasirah ilaqa ke logon ko aarzi rehayish aur gharon ki marammat ki sahoolat faraham ki jaye gi. Aag se ab tak 7 afraad ki mout waqay hochuki hai. Junoobi Spain ke janglaat mein bhi aag lagi hui hai senkdon firefighters aur tayyaron ki madad se aag par qaboo panay ki koshish ki jarahi hai. Spain ka dar-ul-hukoomat Madrid,in dinon shadeed garmi ki lapait mein hai jahan guzashta roz darja hararat 40 degree centigrade record kya gaya. Portugal ke sayahati maqam forest hills mein lagi aag ko bujhanay ke liye aik hazaar se zayed firefighters koshish kar rahay hain, France ke dar-ul-hukoomat Paris ke muzafati ilaqa mein bhi aag lagi hui hai, jis par abhi tak qaboo nahi paaya jaska hai.