Wednesday, May 1, 2024
HomeSliderCake khanay ke muqablay ke douran khatoon halaak

Cake khanay ke muqablay ke douran khatoon halaak

Hervey Bay: Australia mein sab se ziyada Lamingtons cake khanay ke muqablay mein hissa letay hue ek khatoon dam toad gayeen. Guzashta roz Australia ke qaumi din ke mauqa par aik ke shehar Hervey Bay ke hotel mein ek events ke douran 60 sala khatoon ko is waqt dil ka dora pada jab wo Australia ke qaumi din ki taqrebaat mein hissa le rahi then. Muqablay mein hissa lainay waloun ki Lamingtons cake khatay hue film bandi bhi ki gayi. Lamingtons ek riwayati Sponge Cake hai ju chocolate aur khushk nariyal ko mila kar banaya jata hai. Khatoon ko jaye waqooa par CPR deya gaya tha aur baad mein hospital le jaya gaya lekin baad mein wo dam toad gayeen.

Aini shahideen ke mutabiq jab un ki tabiyat kharab hoti dikhayi di un ka mu cake se bhara huva tha. Footage mein dekha ja sakta hai ke haadsay se qabal sharaab khanaay ke sarparast aisay logoun ki hosla afzai kar rahay hain jinhoun ne cake khatay hue apne sath pani ke glass rakhay hue hain. Hervey Bay mein waqay beech house hotel ne Facebook par ek pegham post kya jis mein is khatoon ( jin ki shanakht abhi taq zahir nahi ki gayi hai ) ke lawahiqeen aur dostoun se izhaar taaziyat kiya gaya hai. Unhoun ne fori aur pesha warana madad faraham kar ne par ambulance khidmat bhi shukriya ada kiya.

Australia ke qaumi din ke mauqa par mulk bhar mein chhutti hoti hai aur khanay ke muqablay munaqqid kiye jatay hain jo bohat hi maqbool khail hain. Ye wo din hai jab pehlay Europi bashindoun ki Australia aamad hui thi. Muqablay mein hissa lainay waloun ko mehdood waqt mein ziyada se ziyada cake, Pet, dog yadekhar ashya khane par inamaat diye jatay hain. –YTN STAFF