Friday, May 17, 2024
HomeSliderCairo ki sadkon par barqi aur Gas se chalne wali Buses ko...

Cairo ki sadkon par barqi aur Gas se chalne wali Buses ko muta-arif karne ka elaan

Cairo: Misar ke dar-ul-hukoomat mein Traffic ke masail ke hal karne aur gadiyon ke bahao ko aasaan karne aur aloodgi ko kam karne ke liye Cairo ki sadkon par barqi aur Gas se chalne wali Express Buses komtaarf karne ke mansoobay mein taizi laane ke khwahan hai.
Wizarat Transport baday chorahon par Bus Stops ke sath Buses ko sarshar galiyon mein chalanay ka iradah rakhti hai. Cairo, Giza aur Qalyubia  ne naam nihaad BRT ( Bus Rapid Transit ) mansoobay par amal karne aur is ke kaam ki nigrani ke liye ek mushtarqa committee tashkeel di hai.

Misar ke wazeer transport Kamel Elwazir ne kaha ke BRT Buses mukhtalif tareeqon se naqal-o-hamal ke mabain raabtey ki pesh kash karen gi. Deegar traffic ke zareya belaa rokk toak Cairo ki sadkon par un ki apni galiyon mein Buses chalein gi, Jis terhan dosray taraqqi yafta mumalik ke dar-ul-hukomton mein asri Buses awam ki khidmaat mein dastyab hain.

Wizarat ke ek zaraye ney kaha ke Ring Road par towsee ka kaam mukammal honay ke baad High Frequency Buses shuru ki jayen gi. Wizarat Ring Road ko wusat dainay ka iradah rakhti hai taakay har simt mein 8 lain ko shaamil kiya jasakay. Transport ke maahir Macdi Aisam ney kaha ke Ticket ki qeemat companiyon ke operating akhrajaat aur munafe ke margin ki akkaasi kere gi, Aur hukoomat ki taraf se is ki himayat nahi ki jaye gi.

Automotive maahir Jamal Askari ne kaha ke Buses pehli baar 1970 ki dahai ke aakhir mein muta-arif huvi aur baday shehron mein jaldi mashhoor hogayi. Bijli se chalne wali gadiyaan fi ghanta 4 hazaar musafiron ko le ja sakti hain. Askar ke mutabiq Misar ke sadar Abdel Fattah Al-Sisi ka khayaal hai ke Buses ki Asri sahuliyaat se Cairo ko madad milegi. Jo motor gaadi se peda honay wali aloodgi ke liye duniya ke bad tareen shehron mein se ek hai taham yeh shehar apne fazai miyaar ko behtar bananay mein masroof hai.

Askari nay kaha ke Misar nay guzashta chay saal mein 8 hazaar kilometer se ziyada sadkain bichhaya hai jis se sadkon ki istedad car mein behtari, Safar ke waqt mein kami aur eendhan ki khapat ko kam karne mein madad mili hai. Asri Buses ko muta-arif karne ka maqsad sadkon par amad-o-raft ka waqt kam kiya jaye aur musafiron ke liye intezaar ka waqt kam se kam rahay. Unhoun nay kaha hai ke ek double Bus lag bhag 170 musafiron ko le jasakay gi.