New Delhi: Shehriat Tarmeemi Qanoon ( CAA ), National Population Register ( NPR ) ke khilaaf Supreme court mein 140 se zayed dair darkhawastoun ki charshumbe ko samaat hui. Supreme court ne filhaal CAA, NPR par pabandi laganay se inkaar kar diya hai. Aur markazi hukoomat ko CAA ke mamlaat mein jawab daakhil karne ke liye 4 haftoun ki mohlat day di. Aur ab is muamlay ki samaat 4 haftoun ke baad hogi.
Chief Justice S.A Bobde ki sarbarahi mein bench ne aindah samaat par maamla uthany ke liye aeen bench tashkeel dainay ke imkanaat ka bhi ishara diya. Senior Advocate Kapil Sibal ne naye qanoon ko challenge karte hue Indian Union muslim league ki taraf se pesh hotay hue adalat se istada ki ke wo is amal ko chand mah ke liye multawi kar den. Taham Attorney General, K.K. Venugopal ne is ki mukhalifat karte hue kaha ke ye ta-attul ke mutradif hai.
Wazeh ho ke, Samaat shuru honay se qabal adalat mukammal tor par bhari hui thi, Jis ki wajah se adalat ke tenu darwaze kholna pada. Chief Justice S.A Bobde ki sarbarahi mein 3 Judges ke bench ne samaat ki. –YTN STAFF