Sunday, May 12, 2024
HomeSliderCAA ke khilaaf Telangana Assembly mein qarardad manzoor

CAA ke khilaaf Telangana Assembly mein qarardad manzoor

Hyderabad: NPR, NRC aur CAA ke khilaaf Telangana qanoon saaz Assembly mein mutafiqa tor par qarardad manzoor ki gayi aur is faisla ka har gosha se kher muqaddam kiya ja raha hai. Telangana ke Chief Minister KCR ke alawa deegar jamaatoun ke arkaan ne is qarardaad par izhaar khayaal kiya. BJP rukan Raja Singh ne qarardad ki mukhalifat ki. Baad azan Speaker Assembly Srinivas Reddy ne usay manzoor kardeya. Chief Minister Chandrashekhar Rao ne Assembly mein NPR, NRC aur CAA ke khilaaf qarardaad pesh ki hai aur is par ewaan mein behas ka aghaaz kiya. Unhoun ne kaha kay ab tak mulk ki 7 reyastoun mein un qawaneen ke khilaaf Assembly mein qarardaad manzoor karte huve markaz se is qanoon ko wapas laine ka mutalba kiya gaya. Aaj Telangana mulk ki 8 wen riyasat hai jahan Assembly mein is qanoon ke khilaaf qarardad manzoor ki ja rahi hai. Unhoun ne aaj ewaan ki karwai ke aaghaz ke sath hi is masla par mubahis ka aaghaz kiya. KCR ne kaha ke is qarardaad ku munsifana qarardine ki wajohaat hain.

Hindustan jaisay mohazab muashra mein hum aisay nuqsaan da qanoon ko bardasht nahi kar saktay jis ke nateeja mein mulk ke kayi ilaqoun mein be cheeni pida hovi hai aur logoun ke diloun mein khadshaat ne janam liye hain. Unhoun ne wazeh kiya ke mulk ko taqseem ki siyasat ki zaroorat nahi hai. Aisi tang zehan siyasat ki mukhalifat ki zaroorat hai. Narazgi ko mukhalif mulk qarar nahib deya jaskta jo aaj kal ho raha hai. Unhoun ne nishandahi ki ke mulk bhar mein shehriat tarmeemi qanoon ke khilaaf ehtijaj kiye jarahay hain. Chandrashekhar Rao ne kaha ke ye sirf musalmanoun ka hi masla nahi hai balkay pooray mulk ka masla hai.

Is mulk mein hamein raye dahi ka ikhtiyar diya gaya hai. Har kisi ke paas Viter Id Card, Driving License, Aadhaar Card hain. KCR ne sawal kiya ke Birth Certificate na rakhne waloun ki sorat e haal kaisi hogi? unhoun ne kaha ke khud un ke paas Birth Certificate nahi hai. Is terhan ki sorat e haal mulk ke lakhoun afraad ki hai. Kisi ne bhi ye nahi kiya ke mulk mein derandazi karne waloun ko kis ne is ki ijazat di. Unhoun ne kaha ke un ki TRS Party Secular  bunyadoun ki haamil hai jis ne bhi Parliament mein is Bill ki mukhalifat ki hai. Mojooda hukoomat ne muslmanoun ko CAA se baher rakha hai.

Hindustan ka dastoor mazhab se ouncha hai. Agar koyi CAA ki mukhalifat karta hai to kiya wo mulk ka qaddar khelayega? Kya wo Pakistan ka Agent hoga? Unhoun ne wazeh kiya ke is mulk mein senkdoun barsoun se Metropolitical  Culture hai. Ek aisay waqt jab aafaqi dosti ki zaroorat hai, Is terhan ke qanoon se mulk ki shabeeh mutasir horahee hai. Kerala, Punjab , Delhi , Behar, Chhattisgarh, Maghribi Bengal ki Assemblion ne bhi CAA, NRC aur NPR ke khilaaf qarardad manzoor ki hai. Ab tak mulk ki 7 reyastoun mein un qawaneen ke khilaaf Assembly mein qarardad manzoor karte huve markazi is qanoon ko wapas laine ka mutalba kiya gaya hai. Aaj Telangana mulk ki 8 we riyasat hai jahan Assembly mein is qanoon ke khilaaf qarardaad manzoor ki jarahi hai.

Mulk mein pehli martaba CAA ke khilaaf qarardad manzoor karne wali Kerala Assembly hai. Unhoun ne kaha kay Telangana ka shumaar un reyastoun mein hota hai jo mulk ki majmoi ghareloun pedawar mein apni hissa daari ada kar rahi hai. Unhoun ne kaha kay Telangana mulk ki nayi riyasat hai jo mulk ki taamer mein apna rule ada kar rahi hai aur is ko aisay masail par baat karne ki zimma daari haasil hai. Chandrashekhar Rao ne markaz ke mutanazia qawaneen par tashwesh ka izhar kiya aur kaha kay markaz ku chahiye ke CAA par dobarah nazar sani kere.

Is terhan ke qawaneen ki manzoori se mulk bhar mein ehtijaj chal raha hai. Americi sadar ke dora ke mauqa par Delhi mein fasadaat huve jis mein 50 afraad halaak hogaye. Mazhab ki bunyaad par awam ko taqseem karne ki koshish ki ja rahi hai mulk bhar mein firqa waranah mahol peda karne Goli Maaro jaisay naaray diye ja rahay hain jo afsoosnaak amal hai. KCR ne ilzaam lagaya ke BJP ne earzi siyasi faida ke liye CAA ko samne laya hai. Amli tour par is qadam se siwaye mazhabi khutoot par logoun ki taqseem ke kisi bhi tabqa ko faida nahi miley ga. Markaz ku chahee tha ke wo is masla par Parliament mein Bill ki peshkashi se qabal har tabqah ki raye layte. Is qanoon ke nateeja mein siyasi be cheeni ki sorat e haal mulk bhar mein dekhi jarahi hai. –YTN STAFF