Sunday, April 20, 2025
HomeIndiaCAA ke khilaaf muzahire ke douran Ram Chandra Guha giraftar

CAA ke khilaaf muzahire ke douran Ram Chandra Guha giraftar

Bangaloru: Shehriat tarmeemi act ke khilaaf jumaraat ko mulk bhar mein muzahiray kiye ja rahay hain. Dehli mein Lal Qila ke qareeb dafaa 144 nafiz kiya gaya hai. Aur police ne darjanoun afraad ko hirasat mein le liya hai. Wahein Bangaloru mein maroof morak aur musannif Ram Chandra Guha ko police ne hirasat mein le liya. Darasal shehriat tarmeemi act ke khilaaf ehtajaji muzahiray kar rahay muzahireen ne jumaraat ko shehar mein rally nikaalte ka faisla kiya tha. Bangaloru police ne is ki ijazat nahi di thi.

Is ke baad subah se hi police ki ek baday tadaad ahem sadkou par tainaat thi. Is douran muzahireen aur police mein jhadap hovi aur Ram Chandra Guha bhi is muzahiray mein shaamil they. Police ne Guha sameit 30 muzahireen ko hirasat mein leliya. Guha ne insidaad shehriat tarmeemi act ( CAA ) ke khilaaf ehtijaj kar rahay, Muzahireen ke khilaaf Bangaloru police ki karwai ki sakht alfaaz mein muzammat ki.

Guha ne kaha ke ”Ham mukammal tor par adam tashadud aur aman ke sath ehtijaj kar rahay hain. Ye imtiazi sulooq hai. Dekho police shehrioun ke sath kistarah sulooq kar rahi hai“. Apne giraftari par radde amal ka izhaar karte hue Guha ne kaha ke’ Ye bilkul ghair jamhuri hai“ ke police bhi par aman ehtijaj ki ijazat nahi day rahi hai, Jo shehrioun ka jamhoori haq hai. –YTN STAFF