Wednesday, May 1, 2024
HomeIndiaCAA ke khilaaf mushtarqa hikmat e amli ko baqaida bananay ke liye...

CAA ke khilaaf mushtarqa hikmat e amli ko baqaida bananay ke liye Congress ka aaj ahem ijlaas

New Delhi: Congress ne shehriat tarmeemi Act ( CAA ) aur NRC aur talba par honay walay zulmoun ke baaray mein mushtarqa hikmat e amli ko baqaida bananay ke liye ijlaas mein tamam hum khayaal jamaatoun ko shirkat ki dawat di hai. Oppostion jamaatoun ka ijlaas dopehar ko parliament ke annex  munaqqid hoga.

Congress ne tamam hum khayaal jamaatoun ko ek mushtarqa Platform par aane ki dawat di hai. Taham, Maghribi Bengal ki wazeer aala aur Trinamool Congress ki Supremo Mamata Banerjee ne, Ijlaas mein shirkat se inkaar kar diya. Uttar Pradesh ki sabiq wazeer aala Mayawati Bahujan Samaj Party  ki Supremo ne bhi tasdeeqas ijlaas mein hissa lainay se inkaar kar diya hai. Mayawati ne peer ko Twit karkay is ke baaray mein ittila jankari di.

Congress zaraye ke mutabiq, Inhen aetmaad hai ke tamam oppostion jamaten mazkoorah ijlaas mein shirkat karengi. Tawaqqa ki jarahi hai ke Bahujan Samajwaadi party aur Congress ki nai ittihadi party Shive Sena is ijlaas mein shirkat karen gi. Congress working committee ( CWC ) pehlay hi CAA aur NRC ko wapas lainay ka mutalba kar chuki hai. Idhar Aam Aadmi Party ne bhi Congress ki sarbarahi mein munaqqid honay walay is ijlaas mein shareek honay se inkaar kardiya hai.

Congress ki hukmarani wali reastain is muamlay par ek qarar daad manzoor karne ka imkaan hai, Kyunkay CWC ne pehlay hi is par apna muaqqaf apna liya hai. Haftay ke roz ek ijlaas mein, CWC ne ek qarar daad manzoor karne ke baad kaha ”Narendra Modi ki zair qayadat markazi hukoomat ne mulk bhar mein nojawanoun aur talba ki awazoun ko dabanay, Qaboo panay aur mahroom rakhnay ke liye safaaq riyasat ki taaqat haasil karli hai“.

Unhoun ne kaha ”Aayeen par wasee pemanay par hamlay, Berozgari, Taleem ko karobari bananay, Feesoun mein izafay aur naojawanaoun tulba ki aawaz ko suneney se inkaar ke nateejay mein pooray campus mein be sakhta muzahiray hue hin“. CWC ki qarar daad mein kaha gaya hai ke Bhartia Janata Party ki hukoomat talba ko suneney ke bajaye un ke khilaaf police ko khada kiya, Giraftariyan kar wanne aur case darj kar vaya aur talba par mansoobah band hamlay karwaye. –YTN STAFF