Lacknow: Mulk bhar mein Shehriat Tarmeemi Qanoon ke khilaaf jari ehtijaj ke darmain Pragraj ( Allahabad ) mein ek dilchasp maamla pesh aaya hai. Uttar Pradesh waqay Pragyaraj mein Congress leader Haseeb Ahmed ne shehriat qanoon ke khilaaf ehtijaj ka ek naya tareeqa ikhtiyar kiya aur apne aaba o ajdaad ki qabar ki ziyarat karne qabrustan poanch gaye. Wahan poanch kar rotay hue Haseeb Ahmed ne un se shehriat ke dastawizaat mangay aur kaha ke un ke paas aisa koi kaghaz mojood nahi jis se wo apni shehriat saabit kar saken. Media zaraye ke mutabiq ye waqea 21 January ka hai jis ki taswerain ab social media par Viral ho rahi hain. Khabroun ke mutabiq Congress Leader Haseeb Ahmed ne aaba o ajdaad ki qabar ke samnay haath phela kar dua ki ke wo unhein shehriat ke dastawizaat den taakay wo apni Hindustani shehriat saabit kar saken. Baad azan media se baat karte hue Haseeb Ahmed ne kaha ke hamaray paas dastaweez nahi hai lekin hum Hindustan mein kayi nasloun se reh rahay hain. Ham ne apne aaba o ajdaad se kaha ke is baat ka saboot den ke hum is mulk ke shehri hain. Ham ne hukoomat se mutalba kiya hai ke agar hamein Detention camp mein bheja jaye ga to hamaray aaba o ajdaad ke baqyat bhi wahan rakhay jayen.
Wazeh rahay ke Uttar Pradesh ke kayi shehroun mein shehriat tarmeemi qanoon aur NRC aur NPR ke khilaaf ehtajaji muzahira jari hai. Modi ke parliamani halqa Varanasi mein is qanoon ke khilaaf muzahira kar rahi kuch khawateen ke sath police ke zareya maar peet bhi ki gayi aur kuch khawateen ko muzahira ke maqam se utha kar police le gayi. Is terhan ke waqeat Uttar Pradesh mein lagataar dekhnay ko mil rahay hain. Dehli ke Shaheen Bagh mein ek mahinay se ziyada arsa se khawateen khaima laga kar 24 ghantay dharnay par baithi hui hain aur yahan bhi police lagataar dabao bana rahi hai ke ye dharna khatam ho, Lekin kisi bhi haal mein khawateen aisa karne ke liye tayyar nahi. –YTN STAFF