Thursday, May 2, 2024
HomeIndiaButa singh ko 4 wazraye Azam ke sath kaam karne ka aizaz

Buta singh ko 4 wazraye Azam ke sath kaam karne ka aizaz

New Delhi: Dalits aur ghareebon ki aawaz ke tor par munfarid shanakht bananay walay sabiq markazi wazeer Buta singh ka aaj inteqaal hogaya lekin unke siyasi career mein kayi ek records darj hain.

Akali Dal se apne siyasi career ka aaghaz karne walay Buta singh pandit nehru ke daur mein hi congress mein shamoliat ikhtiyar ki thi jis ke baad inhen Hindustan ke chaar wazraye Azam ke sath kaam karne ka aizaz haasil hua hai aur unhon ne apni qabliyat aur maharat ka loha manwaya.

Congress se bohat qareebi talluq rakhnay walay Buta singh ne mulk ke 4 wazraye Azam ke sath kaam kiya. pehlay woh Indra gandhi ki kabeena mein wazeer sports rahay. iske baad sabiq Wazeer-e-Azam Rajiv gandhi ne inhen pehla wazeer-e-dakhla banaya. Baad azan Narsimha rao ke daur mein wazeer-e-khoraak rahay aur inhen Manmohan Singh ke daur mein qaumi schedule zaat ka commission ka chairman banayagya tha. Is ke alawa woh indra gandhi ke matehat asian games ki organizing committee ke chairman bhi rahay.

Buta singh ne markaz mein wazeer e dakhla, wazeer zaraat, railway wazeer, wazeer sports, wazeer khoraak aur muwasilat ke wazeer ke ohday par Faiz rahay aur Bihar ke governor ki hesiyat se bhi khidmaat anjaam den. woh 2004 taa 2006 Bihar ke governor aur 2007 taa 2010 tak qaumi commission baraaye darj fehrist zaat ke chairman rahay. Buta singh ko 2005 mein Bihar qanoon saaz assembly ko tahleel karne par sakht tanqeed ka saamna karna pada tha. un ke is iqdaam par Supreme Court ne shadeed tanqeed ki thi.

Buta singh ka aaj yahan taweel alalat ke baad 86 saal ki Umar mein inteqaal hogaya. yaad rahay ke sardar Buta singh 21 March 1934 ko Punjab mein jalandhar ke mustafa por mein peda hue thay. Ibtidayi taleem jalandhar mein mukammal karne ke baad unhon ne Mumbai se master ki degree haasil ki thi. Baad azan bundelkhand se doctorate ki degree haasil ki. Siyasat mein aanay se pehlay unhon ne bator sahafi kaam kiya.

Unhon ne apna pehla intikhab akali dal ke umeed waar ki hesiyat se lada tha lekin pandit Jawaharlal nehru ke daur mein hi pehli martaba woh teesri lok sabha ke liye Punjab ke saadhna halqa se rukan-e-parliment muntakhib hue thay. Is kamyabi ke baad woh kabhi peechay mudh kar nahi dekha aur woh lagataar teesri, chothi, panchwin, satwen, aathween, dasvin, baarhavin aur 13win lok sabha ke rukan rahay. majmoi tor par woh 8 martaba rukan-e-parliment muntakhib hue.