Friday, April 19, 2024
HomeHyderabadBus chalane wale kam musafir ziyada, Ziyada Bus chalanay ki zaroorat

Bus chalane wale kam musafir ziyada, Ziyada Bus chalanay ki zaroorat

Telangana mein lockdown mein narmi ke auqaat mein izafah ke baad jahan awam ko raahat mili hai wahein sarkon par traffic jaam aur musafir ki aik barri tadaad ko bas stops par dekha ja raha hai. Telangana road transport coopration ki basoon mein musafireen ki tadaad mein izafah dekha ja raha hai taham din ke aakhri ghanton mein musafir ki tadaad ziyada aur basoon ki sahoolat kam record ki jarahi hai. sath hi bus stands mein bhi musafireen barri tadaad mein nazar arhay hain.

In halaat mein ohdedaron ney tawaqqa zahir ki ke agar musafireen ki tadaad mein isi terhan izafah hota raha tho telangana RTC ki aamdani mein bhi izafah hoga jis ke liye woh ziyada baseen chalanay ka faisla le satke hain. lock down ke qawaid par amal karte hue RTC si ki parcel, courier aur cargo khidmaat ko bhi bahaal kardiya gaya. daur daraaz ke ilaqon ke liye baseen chalaye jarahi hain taham bain reyasti bas khidmaat hunaz shuru nahi hui hain.

ALSO READ: Telangana mein 19 June se lockdown marhala waar khatam hoga

lockdown se pehlay Rtc si ko 11 crore ki aamdani hoti thi taham corona ki doosri lehar ke sabab nafiz lock down ki wajah se bas khidmaat mukammal tour par mutasir hogayi thi. ibtida mein sirf subah 6 baje se 10 baje din tak hi lock down mein narmi di gayi thi jis ke baad sirf qareebi ilaqon ke liye hi bas khidmaat ka aaghaz kiya gaya tha.

Ohdedaron ne kaha hai ke lock down mein shaam paanch baje tak narmi ke baad riyasat ke tamam ilaqon ke liye bus khidmaat bahaal ki gayi hain. hukoomat ki janib se ijazat mlitay hi jald hi bain reyasti bas khidmaat ka bhi aghaz krdiya jaye ga. Aik conductor ne kaha ke har bus mein 30 taa 40 musfireen ki tadaad dekhi jarahi hai .

Rtc ki janib se mojooda tour par sirf 1500 buseen hi chalaye jarahi hain. is se RTC si ko zayed 4 crore rupiye ki aamdani horahee hai. ohdedaron nay kaha kay lock down ke mukammal tour par khtama par aik martaba phir corporation ki aamdani mein izafah ho sakta hai. zaraye ke bamojag barish ke mausam mein ziyada musafireen RTC busoon mein safar karte hain aur mehakma ko ab behtar aamdani ki umeed hai.