Friday, May 17, 2024
HomeIndiaBus aur Lorry mein khofnaak haadsa, 20 afraad halaak aur darjanon zakhmi

Bus aur Lorry mein khofnaak haadsa, 20 afraad halaak aur darjanon zakhmi

Chennai: Khofnaak sadak haadsay mein 20 afraad ki mout aur darjanoun afraad zakhmi huve hain aur ye haadsa Lorry aur Bus mein tassadum ka nateeja hai. Tamil Nadu ke Tripura zila waqay Avinashi  shehar ke paas jumaraat ki subah Bus aur Lorry ke darmain takkar mein 20 logoun ki dard naak mout ho gayi hai. Mossola it-tila-aat ke mutabiq mehlokeen mein 14 mard aur 6 khawateen shaamil hain. Bataya ja raha hai ke is andohnak haadsa mein kam o besh 2 darjan afraad zakhmi huve hain.

Waqea ke baad raahat aur bacho kaam fori tor par shuru ho gaya aur Police ki Team bhi jaye wuqoo ka muaina karne ke liye poanch gayi hai. Police ne halaak shudgan mein 5 khawateen ke shaamil honay ki tasdeeq kardi hai lekin muqami zaraye ke mutabiq marnay wali khawateen ki tadaad 6 hai. Is darmain zakhmioun ko ilaaj ke liye sarkari hospital mein daakhil karwaya gaya hai jahan kuch ki haalat naazuk batayi ja rahi hai.

Police ne is pooray waqea ke talluq se Media ko bataya ke haadsa is waqt huva jab KSRTC ( Kerala State Road Transport Corporation ) ki ek Volvo Bus Saleem se Thiruvananthapuram  ja rahi thi. Is douran 6 line walay quwwat shahrah par mukhalif simt se anay wali ek Lorry uchhal kar Bus ke samnay aa gayi aur is ke andar ja ghusi. Ye haadsa itna shadeed tha ke Bus ke kisi bhi musafir ko apni difaa ka mauqa tak nahi mila.

Police ne kaha hai ke Lorry par Tails load huve they jis ki wajah se haadsay ne itni khofnaak shakal ikhtiyar kar li. Is haadsay mein Volvo Bus ke parakhchay udd gaye aur jo aag lagi, Is par qaboo paana intahi mushkil ho gaya. Raahat aur bachao ehalkaroun ko aag bujhanay aur zakhmioun ko baher nikaalte mein sakht mehnat karni padi. Bachao Team ko Bus mein se halaak shodgan ki laashoun aur zakhmioun ko baher nikaalte ke liye Gas Cutter ka istemaal karna pada. Ibtidayi Report ke mutabiq haadsa ke waqt Bus mein 48 musafir sawaar they. –YTN STAFF