Meerut : Ek haeran kin waqea mein, guzashta saal bulandshahr mein gaaye ke qatal ke waqeye mein police inspector ko qatal karne ke ilzaam mein saat afraad ke zamanat par bahar aaney par, unke hamiyoun ne un ka isteqbal kiya.
Hafta ki raat jaise hi woh bulandshahr jail se bahar niklay, un satoun mulzimoun ko ”Bharat mata ki jai aur Vandemataram ke naaron ke sath unka istaqbaal kiya gaya, aur inhen mubarakbaad di gayi, baad mein unke hamiyoun ne unke aizaz mein khair maqdami party bhi munaqqid ki. yeh maamla itwaar ki raat Social media par video share karne ke baad samnay aaya.
Zamanat par riha honay walay saat mulzimaan mein Bharatiya Janata Yuva Morcha ( BJYM ) ke member shekhar Agarwal aur army ke ek ahelkaar Jitendar malik bhi shaamil hain. un par Mob Lynching ke maamla ka ilzaam hai, jo 3 December ko bulandshahr ke sayana ke gaon Mahav ke qareeb ganney ke khet mein ek gaaye ki laash Bar-aamad honay ke baad paish aaya tha.
Is tashadud mein Siyana station house officer Subodh Kumar Singh, aur muqami nojawan sameit kumar ki mout ho gayi thi aur Chingrawati police ke picket ko Nazar-e-aatish kar diya gaya tha. Tashadud ke fori baad hi, police ne 60 se ziyada na maloom afraad ke khilaaf muqadma darj kia tha .
Bulandshahr ke senior Superintendent police Santosh kumar singh ne kaha ke zamanat par riha honay walay afraad ko sakht section ka saamna nahi karna padh raha tha aur unpar hungama aarai karne aur qatal ka muqadma darj nahi kiya gaya.
Unhon ne kaha ke jumla 10 logon ko zamanat di gayi hai, jin mein se saat ko riha kar diya gaya hai. zamanat Manzoor shuda mulzimaan par fasadaat ke ilzaam mein muqadma darj tha. jabkay qatal ka muqadma darj kiye gaye kisi bhi mulzim ko zamanat nahi di gayi hai. –YTN STAFF