Sunday, April 20, 2025
HomeWorldBudh raheboun ki shikayat par Srilanka mein youm-e-Ashura ke programm par pabandi

Budh raheboun ki shikayat par Srilanka mein youm-e-Ashura ke programm par pabandi

Colombo: Srilanka ke dar-ul-hakoomat colombo ki ek adalat ne 2 sakht ger budh tanzeemoun ki janib se musalmanoun ke mazhabi din ( Ashura ) ke khilaaf muzahira karne par pabandi lagadi.

Report mein police tarjuman ke hawala se bataya gaya hai ke colombo ki magistrate adalat nay budh rahibon ki sarbarahi mein 2 groupon ko roknay ke ehkamaat jari kiye, jinhon nay colombo mein daoudi bohrah firqa ke ijtima mein khalal daalnay ka mansoobah banaya tha. khayaal rahay ke Ashura ke silsila mein 10 dinoun tak jari rehne walay mazhabi ijitmaat mein shirkat ke liye duniya bhar se taqreeban 25 hazaar afraad colombo pohanch chuke hain.

Police ke tarjuman nay kaha hai ke inhen yeh ittila mili thi ke 2 qoum parast giroh Srilanka ke sadar maqam colombo mein honay walay ijtima mein khlal daalnay ka mansoobah bana rahay hain, taham ab mazkoorah maqam par police aur fouji daston ko tainaat karkay security mein izafah kardiya gaya hai. khayaal rahay ke yeh fori tor par wazeh nahi hosaka ke yeh giroh kis tarhan ki mansoobah bandi kar rahay they lekin qoum parast giroh umooman mazhabi aqliyaton ke khilaaf sakht karwayi karte hain. chunancha itni badi tadaad mein zaireen ka intizam karne ke liye colombo ki markazi Shiah hussaini masjid ke qareeb ahem shahrah ke ek hissay ko band kardiya gaya.

Wazeh rahay ke daoudi boharh firqa ke Rohani peshwa syedna Mufzal Saif uddin ijitmaat ki sarbarahi karne ke liye chaharshambe ko Colombo pohanche they, jahan woh Srilanka ke rehnumao se bhi mulaqaat karenge. yeh ijitmaat 3 girjagharon aur 3 hotels mein honay walay silsila war bomb dhamakon ke 4 mah baad munaqqid ho rahay hain jis mein 258 afraad halaak jabkay 500 zakhmi hogaye they. –YTN STAFF