Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaBudget ko chand sanatkaroun ke fawaed aur riyasati intekhabat ke nazar kardiya...

Budget ko chand sanatkaroun ke fawaed aur riyasati intekhabat ke nazar kardiya gaya

New Delhi:  Modi Hukumat ke mutaliq harzi shaoor fard achi tarah janta hai ke wo aam awam ki bajaye chand ek sanatkaroun ke fawaed ke liye aaye din koi na koi khanoon bana rahi hai aur is waqt jo budget pesh kiya gaya hai is may bhi un riyasatoun ko ziyada ahmiyat di gayi hai jaha aane wale dinoun may intekhabat hone wale hai.

Budget ko bhi sanatkaroun ke alawa vote bank ke hawale karne ki Modi hukumat ki koshish ko aaj parliament  may congress leader Kapil sibal be niqab kiya hai.

Congress ke senior rehnuma kapil sibal ne Modi hukumat per budget may vote bank ki siyasat karne ka ilzam aayed kiya aur apne bayan may unhoun ne kaha ke Hindustan ka poora karobar nuqsan ke mare pareshan hai aur saaare fawaed char panch sanatkaroun ke gharanoun tak simat kar reh gaye hai.

Rajya sabha may sibal ne mali saal 2021-22 ke budget per behas ka aaghaz karte hue kaha ke aasam , west Bengal aur kerala may chonke anqareeb intekhabat hone hai is liye un intekhabat ke peshe nazar un riyasatoun ko ahmiyat di gayi hai.

Un riyasatoun may bade paymane per qaumi shahrahoun ki tamer ke liye budget  mukhtas kiya gaya hai. West Bengal may 75 kilometer aur kerala may 1100 kilometer sadakein taamer ki jayengi.

Sibal ne kaha hai ke do teen karobari khandanoun ko bandargahein, airports, steel aur tawanai ke karobar faraham kardiye gaye hai. Ralway aur bohot se doosre shoboun may khangiyana ko farogh dya jaraha hai aur sarkari shobe ke bankoun keg hair karkardgi bakash asa se badh rahe hai. Unhoun ne ye bhi kaha hai ke  mulk ki 73 feesad doulat ek feesad tijarti gharoun may chali gayi hai.

Wizarat khazana  aur neeti aayog ki taraf se mulk may 6 saat bade airports khangi hathoun may dene ki mukhalifat ke bawajood us khangi shoboun ko diya gaya.

Congress ke rehnumba sibal ne kaha ke America Europe china aur deegar kayi mumalik may hukumat kisanoun aur kaashtaroun ko bade paimane per mali imdad de rahi hai jabke humare mulk ke kisan fasloun ki kam se kam qeemat ko khanoon haisiyat den eke liye chalarahe hai.