New Delhi : Bahujan samaaj party ( BSP ) ki saddar Mayawati ney samajwadi party ke sath filhal ittehaad khatam karne ka elaan karte hue kaha ke Uttar pardesh assembly zimni intikhabaat mein BSP fil haal tanha intikhabi maidan mein utregi. mayawati ney yahan ek press conference mein bataya ke haal hi mein lok sabha intikhabaat mein samajwadi party ( SP ) ka vote BSP ke umeedwaron ko muntaqil nahi hua hai .
SP mein androoni khulfashar paeda hogaya hai, SP ke leader ko apna vote bank BSP ke haq mein karanay ke liye zameeni satah par kaam karna hoga. is ke liye SP ke leadron ko kaafi waqt lageyga is liye BSP nay Uttar pardesh ke aindah assembly zimni intikhabaat mein tanha utarney ka faisla kiya hai. BSP Leader nay samajwadi party ke Akhilesh Yadav aur unki ahliya Dimple Yadav ke sath behtar rishtay honay ki wazahat karte hue kaha ke SP ke sath mustaqbil mein ittehaad ke rastay band nahi hue hain, agar Akhilesh Yadav behtar kaam karte hain to unke sath dobarah se mil kar chala jaye ga .
Lok sabha intikhabaat mein BSP ki karkardagi ke tajziye ke liye Dehli mein waqay party daftar mein kal ek mulaqaat talab ki gayi. unhon ney party leadron ko zimni intikhabaat ki tayario ke ehkamaat jari kiye. mayavti nay kaha ke samaaj waadi party se ittehaad karne ka koi khaas faida nahi hua aur SP ke karkunaan aur leadron nay BSP ke khilaaf kaam kya. ab BSP assembly ke zimni intikhabaat tanha ladeygi. guzashta 10 barson mein BSP nay koi zimni intikhab nahi lada hai. haal hi mein hue Lok sabha intikhabaat mein party ke 10 arkaan-e-assembly arkaane-e-parliment ban gaye hain. taqreeban teen ghantay tak jari rehne wali mulaqaat mein ittehaad ki shikast par sanjeedgi se ghhor o khoz kiya gaya .
Lok sabha intikhabaat ke nataij se naraaz mayawati nay 6 reyaston Uttarkhand, Bihar, jharkhand, Rajasthan, Gujrat aur Orissa ke zimmadaraan ko bar tarf kardiya hai. Dehli aur Madhya pradesh ke sadar tabdeel kardiye gaye hain. Uttar pardesh mein BSP reyasti saddar RSS se Uttarkhand kashoa ke incharge ka ohda bhi cheen liya gaya hai. BSP nay lok sabha intikhabaat mein 300 nishistoun par intikhab lada tha. Uttar pardesh mein BSP nay SP aur Rashtriya lok dal ke sath azeem ittehaad kiya tha. BSP ko 10 nishistoun aur SP ko paanch nishistein milein. RLD khatah bhi nahi khol payi. baqi reyaston mein BSP ko ek bhi nishist nahi mili . –YTN STAFF