Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaBSP sadar Mayawati nahi ladegi Lok sabha Election

BSP sadar Mayawati nahi ladegi Lok sabha Election

Lucknow: Sabiq wazer-a-Aala wo  BSP ki sadar Mayawati ney lok sabha intikhabaat ki tez hoti rassa kashi ke darmiya ek bura elaan kiya hai. Lucknow mein ekpress conference mein Mayawati ney kaha ke woh is baar lok sabha election nahi ladegi. Is douran BSP sadar ney BJP ko tanqeed ka nishana banaya. media se baat karte hue unhon ney kaha ke’ ‘ mein jab chahoon lok sabha ka election jeet sakti hun. hamara gath bandhan behtar soorat-e-haal mein hai. Mayawati ney kaha ke agay zaroorat parney par kisi bhi seat se election lad sakti hon .

Wazeh ho ke you UP lok sabha ki 80 Seats par SP. BSP aur are RLD gath bandhan ke tehat election lad rahay hain. BSP 38, SP 37 aur RLD teen siton par maidan mein utre gi. wahein amithi aur raye bareili ki do seats gath bandhan ney congress ke liye chodi hain.