Friday, May 3, 2024
HomeSliderBrazil mein Corona ki Vaccine ke tajarbaat ka aaghaz

Brazil mein Corona ki Vaccine ke tajarbaat ka aaghaz

Brasília: Brazil mein sahet ki Regulatory Authoirty ney Americi dawa saaz company Johnson and Johnson ki tajribati Vaccine ke aakhri marhalay ke Clinical Trials ki manzoori day di hai. Brazil mein Corona dawa saaz company ki zeli company jansen vaccine ka tajurbah Brazil ke saat reyaston mein saat hazaar se zayed raza karon par kere gi. Ye poori duniya mein is vaccine ke 60 hazaar raza karon par honay walay tajarbay ka hissa hai.

Health Regularity Anvisa nay ek bayan mein kaha hai ke ye Trials Vaccine ki manzoori se pehlay baday pemanay par insanon par tajarbay ka hissa hai. Anvisa  ke ek ohdedar Gustavo Mendes nay Authority ki Website par mojood video mein kaha ke mulk mein ek aur vaccine par tehqeeq ki manzoori di gayi hai jo ke bohat hi ahem pesh raft hai.

Chunkay Brazil mein Corona ab bhi taizi se phail raha hai is liye Brazil Corona ki Vaccine ke testing ke liye ek ahem mulk ban gaya hai. Janoobi America ka mulk coronavirus se halakaton aur mutasireen ke hisaab se duniya bhar mein dosray number par hai jahan ab tak corona se 1 lakh 10 hazaar afraad halaak ho chuke hain jab ke mutasireen ki tadaad 35 lakh se zayed hai.

Johnson & Johnson’s ki vaccine ke alah Brazil neh teen mazeed vaccine ke Clinicle Trials ki manzoori day di hai jinhein Oxford University dawa saaz company AstraZeneca, China ki company Sinovac Biotech aur Pfizer ki madad se tayyar kar ki hai. Doosri janib Americi University John Hopkins University ke adaad-o-shumaar ke mutabiq duniya bhar mein corona se mutasir honay walay afraad ki tadaad 2 Crore 21 lakh 36 hazaar 954 hogayi hai.

Is waba se duniya bhar mein ab tak saat lakh 80 hazaar 908 afrad jaan ki baazi haar chuke hain. Waba se sab se ziyada mutasir mulk America hai jahan ab tak 54 lakh 82 hazaar 416 afraad mutasir hue hain jab ke halakaton ki tadaad 1 lakh 71 hazaar 821 hogayi hai.

Brazil mein waba se mutasir honay walay afraad ki tadaad 35 lakh tak pahonch gayi hai jab ke halakaton ki tadaad 1 lakh 10 hazaar ho gayi hai. Corona se sab se ziyada mutasirah mumalik ki fehrist mein Hindostan teesray number par hai. hindostan mein waba se ab tak honay wali halakaton ki tadaad 52 hazaar 888 hogayi hai. hindostan mein corona se mutasir honay walay afraad ki tadaad 27 laakh 67 hazaar 253 hogayi hai .