Wednesday, May 15, 2024
HomeSliderBoxing day test mein Hindustan ki 8 wicketon se tareekhi kamyabi

Boxing day test mein Hindustan ki 8 wicketon se tareekhi kamyabi

Melbourne: Hindustan ne Boxing day test ke chouthay din mein hi Australia ko aath wicketon se shikast day kar chaar matchon ki series ko 1-1 se barabar kardiya. kamyabi ke liye mehez 70 runs ke taqub mein Hindustan ne 15.5 overs mein 2 wicketoun ke nuqsaan se matlooba nishana haasil karliya.

Hindustan ki taraf se Mayank Agarwal (5) aur cheteshwar puajra (3) ke jald out honay ke baad Hindustan ke liye mushkil halaat ban rahay thay aur yeh khadsha paeda horaha tha ke kahin pehlay test ki  doosri innings ka iyadah to nahi hoga aur ek martaba phir hindustani team mamooli score par all out to nahi hojayegi lekin captain Ajinkya Rahane (nat out 27) aur opener shubhmann gill (nat out 35) ne mazeed kisi nuqsaan ke Hindustan ke liye matlooba nishanay haasil karliya. Maizban team jis ne 6 wicket par 133 runs se aaj apni doosri inning ka aaghaz kiya lekin Hindustan ne mangal ki subah iftitahi session mein hi australiyai team ki doosri inning 200 runs per samet di.

Australiyai team ki pehli inning 195 runs ke jawab mein Hindustan ne captain Ajinkya Rahane (112) aur Ravinder jadeja (57) ke sath 326 runs bana kar maizban team par 131 runs ki bartari haasil karli thi.

Australia ke liye chhatay number par Cameron green 45 runs score kiye jo ke maizban team ke liye Azam tareen infiradi score raha opener mathew wade ne 40 runs banaye.

Green aur Patt Cummins (22) ne satwen wicket ke liye 57 run ka izafah kiya aur wicket se bolron ko koi madad nahi mil rahi thi. australiyai team ki yeh ahem shiraakat is waqt toad gayi jab nai gaind li gayi.

Hindustan ki taraf se pehla test khailnay walay fast bowler Mohammad Siraj (37) ne teen wickten haasil kee jabkay jasprit Bumrah (2/54) aur ravinder Jadeja (2/28) aur ravi Chandaran ashwin (2/71) ne wickten haasil.

mukhtasir score:

Australia: 195 aur 200 (Cameron green 45, wade 40, am Labuschange 28 ؛ Mohammad Siraj 3/37, Jadeja 2/28, Bumrah 2/54) Hindustan: 15. 5 overs mein 2 wicket par 70 aur pehli ining mein 326 runs. (Gill 35 nat out, rahane 27 nat out؛ starc 1/20, Cummins 1/22)