Friday, May 17, 2024
HomeSliderBouncers se zakhmi honay walay khiladhi ke liye naye qanoon par ghour

Bouncers se zakhmi honay walay khiladhi ke liye naye qanoon par ghour

Dubai :  International cricket council ( ICC) ne sir mein chonth lagnay ke sabab maidan se bahar janay walay khiladhi ke mutabadil ko batting aur fielding ki ijazat dainay par ghour shuru kardiya hai aur rawan saal is ki ijazat diye janay ka Qawi imkaan hai. sir mein chonth lagnay walay khiladhi ke mutabadil ko khailnay ki ijazat ka silsila tajribati bunyadon par Domestic cricket mein october 2017 se shuru kiya gaya tha. cricket mein sir mein lagnay wali chonth ke badhatay hue hadsaat ke sabab ICC ne domestic cricket mein tajribati bunyadon par mutabadil ko batting aur bowling ki ijazat ka faisla kiya tha .

Bartanwi media ki report ke mutabiq England , Australia , Ireland , Newzealand aur Junoobi Africa apne domestic cricket mein sir par gend lagnay ki soorat mein mutabadil ko maidan mein utaarnay ki ijazat day chuke hain. agar ICC kisi khiladhi ke zakhmi honay ki soorat mein mutabadil ko khailnay ki ijazat dainay ka qanoon Manzoor karta hai to yeh cricket ki tareekh mein mehez dosra mauqa hoga ke mutabadil ki ijazat di jayegi. is se qabal 2005 mein international cricket council ne super sab ke qanoon ko tajribati bunyadon par aazmaaya tha jisay ODI matchon ke douran istemaal karte hue kisi khiladhi ki jagah dosray khiladhi ko maidan mein bulaa ja kar batting aur bowling karwai ja sakti thi lekin is qanoon ko 12 mah ke andar hi khatam kardiya gaya .

Domestic cricket mein haliya daidh saal mein is qanoon ka istemaal kiya gaya to zakhmi honay ki soorat mein khiladhi ka mutabadil wohi khiladhi aa sakta tha jo is ki khasiyat ho matlab batsman ki jagah batsman aur bowler ki jagah bowler. ICC ki cricket committee aur medical committee is waqt tajribati bunyadon par is ke istemaal ke nataij par ghhour kar rahi hain aur is hawalay se apni tajaweez paish karengi jis par July mein honay wali ICC board ke ijlaas mein behas ki jayegi. England and wales cricket board ke chief medical officer Dr nick peers ne is naye mujawaza qanoon ki ahmiyat par roshni daaltay hue kaha ke yeh qanoon khiladion ki hifazat aur unki sahet ko mad-e-nazar rakh kar banaya gaya hai aur kisi khiladhi ko sir par gaind lagnay ke baad medical amlah is ki hifazat ko mad-e­nazar rakhtay hue faisla karega .

Autraliyai cricket team ke captain Aaron Finch ne is qanoon ka kher maqdam karte hue kaha ke is qanoon ka autraliyai domestic cricket mein istemaal jari hai. unhon ne kaha ke zahir hai koi bhi yeh nahi chahta ke kisi ko chonth lag jaye lekin agar chonth lag bhi jaye to koi bhi yeh nahi chahta ke woh match ke nateejay par asr andaaz ho aur is khiladhi ke match se bahar rehne ka sabab, aisa agar pehlay hi over mein ho jaye to yeh bohat bada nuqsaan hai. Finch ne kaha ke sab se ahem cheez khiladion ki hifazat hai aur cricket ka khel kisi ki sahet se badh kar hargiz nahi ho sakta .

yaad rahay ke cricket ki tareekh ka ek alamnaak haadsa is waqt runuma hua tha jab noujawan Australian test cricketer philip Australian Shefald shild ke match ke douran sir par gaind lagnay ke baad be hosh ho gaye they aur do din baad intqaal kar gaye they. world cup se qabal bhi tamam teamon ko is ke khatray ke baray mein khusoosi tor par aagahi faraham ki gayi thi aur ICC har match ke liye ek alehda dr faraham kar raha hai jo kisi haadsay ki soorat mein khiladhi ka muaina karta hai. yaad rahay ke world cup 2019 ke iftitahi match mein England ke khilaaf janoobi africi opener Hashim amla sir par gaind lagnay ke sabab maidan se bahar janay par majboor ho gaye they lekin khush qismati se kisi sangeen zakham se mehfooz rahay . –YTN STAFF