Saturday, April 27, 2024
HomeJurmBoston mein gas dhamakay, 70 hadsaat

Boston mein gas dhamakay, 70 hadsaat

Amrici riyasat Massachusetts ke shehar Boston mein Gas pipe line ke leakage se mutadid gharon mein Gas dhamakon ke baad aag bhadak uthi, hadsaat mein 1 shakhs halaak, jabkay mutadid zakhmi ho gaye. Boston ke nazdeek teen ilaqon mein Gas dhamakon aur aag lagnay ke 70 hadsaat runuma huwe, jis ke baad tenon ilaqon ke pareshan haal log sadkon par nikal aaye. Logon ke sakdon par bad hawas ho kar nikal padney se ird gird ki sadkon par Traffic jaam hogaya. Hukkaam ney logon se appeal ki hai ke woh apna ghar chodtay waqt gas ko band kar den, mutasirah ilaqon mein bijli bhi band kar di gayi hai. Muqami Gas Company ney kaha hai ke un ilaqon mein Gas ko mukammal taur par band karne mein kuch waqt lag sakta hai. Massachusetts Emergency Managment Agency ka kehna hai ke ziyada pressure ki wajah se Gas Line mein aag bhadak uthi hai taham taheqeeq kunindgan aag lagnay ki wajuhaat ka pata chalarhe hain. Is haadse mein aik report ke mutabiq shumali Boston ki teen Communities ke 39 makanaat mein aag lag gayi. Hukkaam ney bataya ke Larence ka aik 18 sala nojawan L Rabson ki car par dhamaka ke baais aik ghar ki chimni girjane se buri tarha zakhmi hogaya tha jisay dawakhana muntaqil kiya gaya jahan shaam mein woh jaanbar nahi ho saka. Monchester State Police ney un makeeno se appeal ki hai jin ke gharon ko Columbia Gas Company ke zariye gas sarbarah ki jati hai woh apne makanaat ka takhlia kar dein. Jumeraat tak aag par qaboo pa liya gaya hai magar hunooz kayi ilaqay khamosh aur andhere mein hain chunkay makeen ghar chode kar chalay gaye aur barqi Companiyon ney barqi sarbarahi masdood kar di hai taakay is terha ke waqhiyat se bacha jasakay. Tenoon counties mein jummay ko Schools ko band kardiya gaya hai. Aik makeen Razin ney kaha ke woh tasawwur bhi nahi kar saktay ke dhamaka mein tabah hojane wala un hi ka ghar hai jisay woh do saal qabal hi khareeda tha. Unhon ney kaha ke un ka ghar mukammal tabah hogaya aur roh barbaad.