Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaBollywood ki Maroof adakara Urmila Matondkar Congress mein hui shaamil

Bollywood ki Maroof adakara Urmila Matondkar Congress mein hui shaamil

New Delhi: In dinon lok sabha intikhabaat se qabal siyasi leadroun, adakaroun ka mukhtalif siyasi partiyoun se judne ka silsila jari hai. pichlle kuch dinoun mein jahan mukhtalif siyasi wo filmi wo deegar shoba se talluk rakhnay wali shakhsiyatioun nay mukhtalif partiyoun mein shamoliat ikhtiyar ki hai. wahein ab bollywood ki mashhoor adakara urmila matondkar nay chaharshambe ko congress party mein shamoliat ikhtiyar karli. is mauqa par congress sadar Rahul Gandhi aur Mumbai congress ke sarbarah Milind Murli Deora bhi mojood they. party mein shaamil honay se qabal urmila matondkar nay party sadar Rahul Gandhi se mulaqaat ki thi .

Is se pehlay mangal ko samajwadi party ki rukan-e-parliment reh chukain, bollywood adakara Jaya prada nay BJP ka daman thaam liya tha. jinhein Uttarpradesh ke Rampur se umeedwar banaya gaya hai .

Maana ja raha hai ke adakara urmila matondkar Mumbai ( shumal ) lok sabha nishist se congress ke ticket par intikhab lad sakti hain. siyasi halqoun mein urmila ke intikhab ladnay ki zor shor se charcha chal rahi hai. Halaan ke abhi tak is ki tasdeeq nahi ho payi hai. siyasi zaraye ka kehna hai ke jald hi is ka elaan kiya jayega .

Wazeh ho ke Mumbai ki 6 lok sabha nishitoun ke liye chouthay marhala mein 29 April ko voting hogi. aur isi din riyasat ki deegar 17 nishitoun ke liye bhi vote daaley jayenge. agar urmila matondkar ko umeed waar banaya jata hai to unka muqaabla BJP ke mojooda rukan parliment Gopal shetty se hoga .

Darasal, Mumbai ( shumal ) halqa lok sabha ko BJP ka gadh maana jata hai. Halaan ke bollywood adakar Govinda nay saal 2004 mein sabiq petroleum minister Raam Naik ko is nishist se haraya tha. Raam Naik is waqt utar pradesh ke governor hain .

45 sala urmila matondkar ka naam pichlle kuch dinon se siyasi gulyaroun mein gasht kar raha tha, kyunkay congress BJP ke khilaaf ek ba asar umeedwaar chahti hai. ab Urmila congress mein shaamil ho gayeen hain to unki mazkoorah nishist se umeedwari yakeeni samjhi ja rahi hai .

urmila matondkar  bollywood ki Maroof adakara hain. jinhoun nay 1988 mein marathi film’ ‘ Jaakol ‘ se sirf saat saal ki Umar mein child actor ke tor par –apne career ki shuruvaat ki thi. uss ke baad unhoun nay shikhar Kapoor ki film’ ‘ masoom’ ‘ mein child  actor ki hesiyat se kaam kiya. is ke alawa woh’ ‘ Dakait, Baday Ghar Ki Beti, Nar Samiha, Chamtkar,Aa Gale Lag Ja, Rangeela samait kayi filmon mein kaam kiya hai. ab dekhte hain ke woh siyasat mein kitna kamaal kar dikhati hain .