Sunday, May 19, 2024
HomeIndiaBollywood Adakara Urmila Matondkar Halqa Lok Sabha Mumbai Shumal Se Congress Ki...

Bollywood Adakara Urmila Matondkar Halqa Lok Sabha Mumbai Shumal Se Congress Ki Umeedwar

Mumbai : Bollywood ki Maroof adakara Urmila Matondkar jinhon ney haal hi mein congress party mein shamoliat ikhtiyar ki hai. unhen jummay ko halqa lok sabha Mumbai shumal ke liye congress ki umeedwar  naamzd kiya gaya hai. woh apne ahem hareef Bhartia Janata Party ke moujooda rukan-e-parliment Gopal Shetty ke maqabil intikhab ladengi.

Pehlay hi yeh khabar charcha mein thi ke party aala kamaan mazkoorah halqa ke umeed waar ke tor par unke naam par ghour kar rahi hai. aur qatee faisla aana baqi tha. aur ab inhen is halqa se umeedwar  banaya gaya hai. Urmila Matondkar ney media se baat karte hue Rahul Gandhi ki jam kar tareef ki .

Kashmiri shakhs MA Meer se shadi karne wali Urmila Matondkar, mazkoorah halqa lok sabha Mumbai shumal mein apne hareef gopal shetty ke liye ek bada challenge ban gayi hain. jo kabhi Bhartiya Janata Party ka gadh maana jata tha .

Intikhabi halqa Mumbai shumal, riyasat ke 48 intikhabi halqoun mein aisa dosra halqa hai jis mein 2019 ke un aam intikhabaat mein glamourus shakhsiyatein hissa le rahi hain. Ek hain Urmila Matondkar, aur doosri hain junoob ki Maroof adakarah navneet kaur rana. jo mashriqi Maharashtra ke Amravati ke liye’ ‘ yuva swabhiman party ‘ ki umeedwar  hain, jinhein congress ki qayadat wali mahagath bandhan ki taied haasil hai. 33 sala adakara navneet kaur rana, jinhon ney Ravi Rana se shadi ki hai.

 

 

 

Y THIS NEWS STAFF